Na Marne Ka Dukh, Urdu Nazam By Aabid Adeeb

Na Marne Ka Dukh is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aabid Adeeb. Na Marne Ka Dukh comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Na Marne Ka Dukh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ مرنے کا دکھ

عابد ادیب

کوئی میرے لرزتے ہاتھ میں

کاغذ کا پرزہ اور قلم پکڑا رہا تھا

کبھی کچھ زیر لب ہی بڑبڑا کر

کوئی اثبات میں

آنکھوں کی اور ماتھے کی جنبش چاہتا تھا

کبھی دانتوں میں ہونٹوں کو دبا کر

کوئی رونے کی کوشش کر رہا تھا

کوئی تو چند لمحوں بعد اپنے

بال بکھرانے گریباں نوچنے کی فکر میں تھا

کوئی غمگیں چہرہ اور سیاہ ملبوس میں

بے حد حسیں معلوم دیتا تھا

میرے اجداد کے ناموں کو گنوا کر

کوئی مجھ سے تعلق جوڑتا تھا

سبھی نزدیک تھے میرے

ادھر بھائی بھتیجے تھے

ادھر بہنیں تھیں بھانجے تھے

پھر ان کے بعد

رشتے جوڑنے والے صف آرا تھے

یہ لگتا تھا کہ کچھ ہی دیر میں

ماتم بپا ہوگا

میں ان باتوں سے

بستر پر پڑا

آنکھوں کو تھوڑی سی کھلی رکھ کر

بڑے دلچسپ موڈ میں تھا

سبھی غمگین تھے لیکن

تمنائیں تھیں آنکھوں میں

یکایک میں نے کروٹ لی

اور آنکھیں کھول کر اٹھنے کی کوشش کی

تو دیکھا

سبھی کے لب پہ مصنوعی ہنسی تھی

چمک آنکھوں سے غائب تھی

عابد ادیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Marne Ka Dukh

Aabid Adeeb

koi mere larazte hath mein
kaghaz ka purza aur qalam pakDa raha tha
kabhi kuchh zer-e-lab hi baDbaDa kar
koi isbaat mein
aankhon ki aur mathe ki jumbish chahta tha
kabhi danton mein honTon ko daba kar
koi rone ki koshish kar raha tha

koi to chand lamhon baad apne
baal bikhrane gareban nochne ki fikr mein tha
koi ghamgin chehra aur siyah malbus mein
behad hasin malum deta tha
mere ajdad ke namon ko ganwa kar
koi mujh se talluq joDta tha

sabhi nazdik the mere
udhar bhai bhatije the
udhar bahnen thin bhanje the
phir un ke baad
rishte joDne wale saf-ara the

ye lagta tha ki kuchh hi der mein
matam bapa hoga
main un baaton se
bistar par paDa
aankhon ko thoDi si khuli rakh kar
baDe dilchasp muD mein tha

sabhi ghamgin the lekin
tamannaen thin aankhon mein

yakayak main ne karwaT li
aur aankhen khol kar uThne ki koshish ki
to dekha
sabhi ke lab pe masnui hansi thi
chamak aankhon se ghaeb thi

(953) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Marne Ka Dukh written by Aabid Adeeb at UrduPoint. Na Marne Ka Dukh is one of the masterpieces written by Aabid Adeeb. You can also find the complete poetry collection of Aabid Adeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aabid Adeeb' above.

Na Marne Ka Dukh is a widely read Urdu Nazam. If you like Na Marne Ka Dukh, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.