Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi, Urdu Nazam By Aaftab Rais Panipati

Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aaftab Rais Panipati. Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi comes under the Social, Hope category of Urdu Nazam. You can read Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آمد سال نو اور بد نصیب ہندی

آفتاب رئیس پانی پتی

آمد ہے سال نو کی سماں ہے بہار کا

سرسبز گلستاں ہے دل داغدار کا

عشق وطن میں عاشق صادق ہے جاں بہ لب

کیا حال پوچھتے ہو غریب الدیار کا

یا رب کہیں گے کس طرح ہم بیکسوں کے دن

یاد آیا ہے قفس میں زمانہ بہار کا

یوں اشک غم ٹپکتے ہیں آنکھوں سے قوم کی

ممکن نہیں ہے ٹوٹنا اشکوں کے تار کا

اک بار قتل عام کرو تیغ ظلم سے

اچھا نہیں ہے جور و ستم بار بار کا

اے مادر وطن کے سپوتو بڑھے چلو

یہ آج ہو رہا ہے اشارہ بہار کا

قاتل کو ناز قوت بازو پہ ہے اگر

مظلوم کو بھروسا ہے پروردگار کا

اے مادر وطن ذرا دست دعا اٹھا

مقتل میں امتحاں ہے ترے غم گسار کا

گرگٹ کی طرح رنگ بدلتا ہے دم بدم

کیا اعتبار غیر کے قول و قرار کا

اغیار سے کرم کی توقع فضول ہے

عرصہ گزر چکا ہے بہت انتظار کا

اے آفتابؔ دہر کا شکوہ ہے کیوں تجھے

ہوتا نہیں ہے کوئی دل بے قرار کا

آفتاب رئیس پانی پتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi

Aaftab Rais Panipati

aamad hai sal-e-nau ki saman hai bahaar ka
sarsabz gulistan hai dil-e-dagh-dar ka
ishq-e-watan mein aashiq-e-sadiq hai jaan-ba-lab
kya haal puchhte ho gharib-ud-dayar ka
yarab kahenge kis tarah hum bekason ke din
yaad aaya hai qafas mein zamana bahaar ka
yun ashk-e-gham Tapakte hain aankhon se qaum ki
mumkin nahin hai TuTna ashkon ke tar ka
ek bar qatl-e-am karo tegh-e-zulm se
achchha nahin hai jaur-o-sitam bar bar ka
ai mader-e-watan ke saputo baDhe chalo
ye aaj ho raha hai ishaara bahaar ka
qatil ko naz quwwat-e-bazu pe hai agar
mazlum ko bharosa hai parwardigar ka
ai mader-e-watan zara dast-e-dua uTha
maqtal mein imtihan hai tere gham-gusar ka
girgiT ki tarah rang badalta hai dam-ba-dam
kya e'tibar ghair ke qaul-o-qarar ka
aghyar se karam ki tawaqqo fuzul hai
arsa guzar chuka hai bahut intizar ka
ai 'aftab' dahr ka shikwa hai kyon tujhe
hota nahin hai koi dil-e-be-qarar ka

(1133) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi written by Aaftab Rais Panipati at UrduPoint. Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi is one of the masterpieces written by Aaftab Rais Panipati. You can also find the complete poetry collection of Aaftab Rais Panipati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aaftab Rais Panipati' above.

Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi is a widely read Urdu Nazam. If you like Aamad-e-sal-e-nau Aur Bad-nasib Hindi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.