Wo Meri Pahli Mohabbat Thi, Urdu Nazam By Aamir Riaz

Wo Meri Pahli Mohabbat Thi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aamir Riaz. Wo Meri Pahli Mohabbat Thi comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Wo Meri Pahli Mohabbat Thi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ میری پہلی محبت تھی

عامر ریاض

جس کی آواز کانوں میں صبح صبح چڑیوں کی طرح چہکتی تھی

جس کی موجودگی سے فضاؤں میں خوشبو سی مہکتی تھی

وہ میری پہلی محبت تھی

جس کی آنکھیں دیکھ متأثر ہو جاتے تھے ہرن

نقاب سے جس کا چہرہ ایسے جھلکتا تھا جیسے سورج کی پہلی کرن

جس کا مسکرانا تھا کہ جیسے وادیوں میں سحر کا آنا

کسی پھول کی طرح جس پہ تتلیاں منڈرایا کرتی تھیں

وہ چاند سے آئی تھی شاید رات میں ستاروں سے باتیں کیا کرتی تھی

جو دن کا پہلا پیغام بھی تھی اور رات کا آخری سلام بھی

صبح با خیر سے لے کر شب بخیر تک جو میرا تکیہ کلام تھی

وہ میری پہلی محبت تھی

خاموشی میں چھپائے جذبات جو سمجھ لیتی تھی

بن ظاہر کئے تمام احساسات جو پرکھ لیتی تھی

میرے لئے جو ہر کہانی ہر ایک قصے میں تھی

ہر ایک شاعری ہر ایک غزل کے حصے میں تھی

جو ہر نظم میں تھی اور ہر موسیقی میں بھی

دل دار بھی تھی جو اور دنیا دار بھی

شان و شوکت کی اس دنیا میں مجھ غریب کی چاہت کی طلب گار تھی

وہ میری پہلی محبت تھی

جو ماضی تھی مگر میرا مستقبل نہ بن پائی

میرے ساتھ ہر حال میں راضی تھی مگر زندگی میں شامل نہ ہو پائی

پیار کی راہ میں جو میری ہم سفر تھی

جس کے جانے کے بعد میری زندگی صفر تھی

کچھ رشتے خون کے ہوتے ہیں اور کچھ دل کے

مگر روح کا رشتہ صرف جس شخص سے تھا

وہ میری پہلی محبت تھی

میرے تخیل میں جو اک تصویر بن کے رہ گئی

جو دل میں میرے بس کے تقدیر میں کسی اور کی ہو گئی

جو ہم راز بھی تھی اور میری زندگی کا سب سے بڑا راز بھی

جس کے جانے کے مدتوں بعد بھی اس کے واپس آنے کی ایک آس تھی

وہ میری پہلی محبت تھی

وہ میری پہلی محبت تھی

عامر ریاض

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Meri Pahli Mohabbat Thi

Aamir Riaz

jis ki aawaz kanon mein subh subh chiDiyon ki tarah chahakti thi
jis ki maujudgi se fazaon mein KHushbu si mahakti thi
wo meri pahli mohabbat thi
jis ki aankhen dekh mutassir ho jate the hiran
naqab se jis ka chehra aise jhalakta tha jaise suraj ki pahli kiran
jis ka muskurana tha ki jaise wadiyon mein sahar ka aana
kisi phul ki tarah jis pe titliyan manDraya karti thin
wo chand se aai thi shayad raat mein sitaron se baaten kiya karti thi
jo din ka pahla paigham bhi thi aur raat ka aaKHiri salam bhi
subh-ba-KHair se le kar shab-ba-KHair tak jo mera takiya-kalam thi
wo meri pahli mohabbat thi
KHamoshi mein chhupae jazbaat jo samajh leti thi
bin zahir kiye tamam ehsasat jo parakh leti thi
mere liye jo har kahani har ek qisse mein thi
har ek shairi har ek ghazal ke hisse mein thi
jo har nazm mein thi aur har mausiqi mein bhi
dildar bhi thi jo aur duniya-dar bhi
shan-o-shaukat ki is duniya mein mujh gharib ki chahat ki talabgar thi
wo meri pahli mohabbat thi
jo mazi thi magar mera mustaqbil na ban pai
mere sath har haal mein raazi thi magar zindagi mein shamil na ho pai
pyar ki rah mein jo meri ham-safar thi
jis ke jaane ke baad meri zindagi sifar thi
kuchh rishte KHun ke hote hain aur kuchh dil ke
magar ruh ka rishta sirf jis shaKHs se tha
wo meri pahli mohabbat thi
mere taKHayyul mein jo ek taswir ban ke rah gai
jo dil mein mere bas ke taqdir mein kisi aur ki ho gai
jo hamraaz bhi thi aur meri zindagi ka sab se baDa raaz bhi
jis ke jaane ke muddaton baad bhi us ke wapas aane ki ek aas thi
wo meri pahli mohabbat thi
wo meri pahli mohabbat thi

(1682) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Meri Pahli Mohabbat Thi written by Aamir Riaz at UrduPoint. Wo Meri Pahli Mohabbat Thi is one of the masterpieces written by Aamir Riaz. You can also find the complete poetry collection of Aamir Riaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aamir Riaz' above.

Wo Meri Pahli Mohabbat Thi is a widely read Urdu Nazam. If you like Wo Meri Pahli Mohabbat Thi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.