Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo, Urdu Ghazal By Aashiq Husain Bazm Afandi

Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aashiq Husain Bazm Afandi. Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عدو کی بزم میں اے بزمؔ یہ شب تو بسر کر لو

عاشق حسین بزم آفندی

عدو کی بزم میں اے بزمؔ یہ شب تو بسر کر لو

اگر دیکھا نہیں جاتا تو منہ اپنا ادھر کر لو

عوض الفت کے دل ہے فیصلہ باہم دگر کر لو

رضا کے ساتھ ہے سودا نہ ڈر کر دو نہ ڈر کر لو

بگڑنے کا بھلا ہے وصل کی صحبت میں کیا موقع

بدی یہ کب تھی ایسے میں تم اپنا منہ ادھر کر لو

فنا ہونا ہے جب غم اور خوشی پھر سب برابر ہے

جہاں میں چار دن کی زیست کیسی ہی بسر کر لو

خوشا شوخی دوپٹہ جب ہٹا سینہ سے فرمایا

تمہیں میری قسم ہے منہ نہ اپنا گر ادھر کر لو

جب اپنے غم کا قصہ بیٹھتا ہوں ان سے کہنے کو

تو کہتے ہیں لب اپنے خشک کر لو چشم تر کر لو

اشارہ پر تمہارے چل رہا ہے عالم امکاں

اسی جانب ہو سب کا رخ تم اپنا منہ جدھر کر لو

شکایت جب کبھی جور و جفا کی ان سے کرتا ہوں

تو سختی سے یہ فرماتے ہیں پتھر کا جگر کر لو

بھروسہ اس کی رحمت پر ہے جب زاہد تو پھر کیا ہے

حسینوں کو تو زندہ رہ کے لو حوروں کو مر کر لو

بہت کار اہم ہے کاٹنا عاشق کی گردن کا

اٹھاؤ تیغ پھر پہلے نزاکت پر نظر کر لو

پہنچ کر سامنے ان کے نہ پھر آواز نکلے گی

یہاں اے حضرت دل جتنا چاہو شور و شر کر لو

تمہارا یاں سے جانا بزمؔ سے دیکھا نہ جائے گا

سحر فرقت کی آ پہنچی ابھی سے منہ ادھر کر لو

عاشق حسین بزم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo

Aashiq Husain Bazm Afandi

adu ki bazm mein ai 'bazm' ye shab to basar kar lo
agar dekha nahin jata to munh apna udhar kar lo

ewaz ulfat ke dil hai faisla baham-digar kar lo
raza ke sath hai sauda na Dar kar do na Dar kar lo

bigaDne ka bhala hai wasl ki sohbat mein kya mauqa
badi ye kab thi aise mein tum apna munh udhar kar lo

fana hona hai jab gham aur KHushi phir sab barabar hai
jahan mein chaar din ki zist kaisi hi basar kar lo

KHusha-shoKHi dupaTTa jab haTa sine se farmaya
tumhein meri qasam hai munh na apna gar udhar kar lo

jab apne gham ka qissa baiThta hun un se kahne ko
to kahte hain lab apne KHushk kar lo chashm tar kar lo

ishaare par tumhaare chal raha hai aalam-e-imkan
usi jaanib ho sab ka ruKH tum apna munh jidhar kar lo

shikayat jab kabhi jaur-o-jafa ki un se karta hun
to saKHti se ye farmate hain patthar ka jigar kar lo

bharosa us ki rahmat par hai jab zahid to phir kya hai
hasinon ko to zinda rah ke lo huron ko mar kar lo

bahut kar-e-aham hai kaTna aashiq ki gardan ka
uThao tegh phir pahle nazakat par nazar kar lo

pahunch kar samne un ke na phir aawaz niklegi
yahan ai hazrat-e-dil jitna chaho shor-o-shar kar lo

tumhaara yan se jaana 'bazm' se dekha na jaega
sahar furqat ki aa pahunchi abhi se munh udhar kar lo

(718) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo written by Aashiq Husain Bazm Afandi at UrduPoint. Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo is one of the masterpieces written by Aashiq Husain Bazm Afandi. You can also find the complete poetry collection of Aashiq Husain Bazm Afandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aashiq Husain Bazm Afandi' above.

Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Adu Ki Bazm Mein Ai Bazm Ye Shab To Basar Kar Lo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.