Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar, Urdu Ghazal By Aasi Ghazipuri

Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aasi Ghazipuri. Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہزاروں کی جان لے چکا ہے یہ چہرہ زیر نقاب ہو کر

آسی غازی پوری

ہزاروں کی جان لے چکا ہے یہ چہرہ زیر نقاب ہو کر

مگر قیامت کرو گے برپا جو نکلو گے بے حجاب ہو کر

شناخت اوس کی ہو سہل کیوں کر کہ جب نہ تب بھیس اک نیا ہو

وہ دن کو خورشید ہو کے نکلے تو رات کو ماہتاب ہو کر

میں دل سے اس شیخ کا ہوں قائل کہ میکدے میں پڑھے تہجد

لگائے مسجد میں نعرے ہو حق کے محو دور شراب ہو کر

فراق میں اس قدر تردد ابھی تمہیں کچھ خبر نہیں ہے

بڑھے گی کچھ اور بے قراری وصال میں کامیاب ہو کر

نہ کر تو اتنی مذمت اس کی بہشت کی چیز ہے یہ واعظ

یہ بلکہ ہے جوش بحر رحمت اگرچہ آیا شراب ہو کر

وہ تھا بدن یا کوئی گل تر پھر اوس کی خوشبو وہ روح پرور

جدھر سے گزرے بسا وہ رستہ بہا پسینہ گلاب ہو کر

جناب ناسخؔ کی یہ ہدایت ہے یاد رکھنا تم اس کو آصیؔ

غزل میں ایسے ہوں شعر جن میں کمی نہ ہو انتخاب ہو کر

آسی غازی پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar

Aasi Ghazipuri

hazaron ki jaan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
magar qayamat karoge barpa jo nikaloge be-hijab ho kar

shanaKHt us ki ho sahl kyun-kar ki jab na tab bhes ek naya ho
wo din ko KHurshid ho ke nikle to raat ko mahtab ho kar

main dil se us shaiKH ka hun qail ki mai-kade mein paDhe tahajjud
lagae masjid mein nare hu-haq ke mahw-e-daur-e-sharab ho kar

firaq mein is qadar taraddud abhi tumhein kuchh KHabar nahin hai
baDhegi kuchh aur be-qarari visal mein kaamyab ho kar

na kar tu itni mazammat is ki bahisht ki chiz hai ye waiz
ye balki hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aaya sharab ho kar

wo tha badan ya koi gul-e-tar phir us ki KHushbu wo ruh-parwar
jidhar se guzre basa wo rasta baha pasina gulab ho kar

janab-e-'nasiKH' ki ye hidayat hai yaad rakhna tum is ko 'asi'
ghazal mein aise hon sher jin mein kami na ho intiKHab ho kar

(1094) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar written by Aasi Ghazipuri at UrduPoint. Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar is one of the masterpieces written by Aasi Ghazipuri. You can also find the complete poetry collection of Aasi Ghazipuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aasi Ghazipuri' above.

Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hazaron Ki Jaan Le Chuka Hai Ye Chehra Zer-e-naqab Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.