Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad, Urdu Ghazal By Aasi Ghazipuri

Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aasi Ghazipuri. Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad comes under the Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہاں پہنچ کے یہ کہنا صبا سلام کے بعد

آسی غازی پوری

وہاں پہنچ کے یہ کہنا صبا سلام کے بعد

کہ تیرے نام کی رٹ ہے خدا کے نام کے بعد

وہاں بھی وعدۂ دیدار اس طرح ٹالا

کہ خاص لوگ طلب ہوں گے بار عام کے بعد

گناہ گار کی سن لو تو صاف صاف یہ ہے

کہ لطف رحم و کرم کیا پھر انتقام کے بعد

طلب تمام ہو مطلوب کی اگر حد ہو

لگا ہوا ہے یہاں کوچ ہر مقام کے بعد

وہ خط وہ چہرہ وہ زلف سیاہ تو دیکھو

کہ شام صبح کے بعد آئے صبح شام کے بعد

پیامبر کو روانہ کیا تو رشک آیا

نہ ہم کلام ہو اس سے مرے کلام کے بعد

ابھی تو دیکھتے ہیں ظرف بادہ خواروں کا

سبو و خم کی بھی ٹھہرے گی دور جام کے بعد

الٰہی آسیؔ بیتاب کس سے چھوٹا ہے

کہ خط میں روز قیامت لکھا ہے نام کے بعد

آسی غازی پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad

Aasi Ghazipuri

wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
ki tere nam ki raT hai KHuda ke nam ke baad

wahan bhi wada-e-didar is tarah Tala
ki KHas log talab honge bar-e-am ke baad

gunahgar ki sun lo to saf saf ye hai
ki lutf-e-rahm-o-karam kya phir intiqam ke baad

talab tamam ho matlub ki agar had ho
laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad

wo KHat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho
ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad

payam-bar ko rawana kiya to rashk aaya
na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad

abhi to dekhte hain zarf baada-KHwaron ka
subu o KHum ki bhi Thahregi daur-e-jam ke baad

ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuTa hai
ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad

(1629) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad written by Aasi Ghazipuri at UrduPoint. Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad is one of the masterpieces written by Aasi Ghazipuri. You can also find the complete poetry collection of Aasi Ghazipuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aasi Ghazipuri' above.

Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wahan Pahunch Ke Ye Kahna Saba Salam Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sufi Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.