Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De, Urdu Ghazal By Abdul Aleem Aasi

Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Aleem Aasi. Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جبین شوق کو کچھ اور بھی اذن سعادت دے

عبدالعلیم آسی

جبین شوق کو کچھ اور بھی اذن سعادت دے

کہ ذوق زندگی محدود سنگ آستاں تک ہے

نوید رستگاری پر عبث دل شاد ہوتا ہے

ابھی صد دام اے بلبل قفس سے آشیاں تک ہے

یہ احساس تعلق مجھ کو مٹنے بھی نہیں دیتا

کہ تیری داستاں کا ربط میری داستاں تک ہے

ترانہ چھیڑ وہ مطرب کہ روح عشق چونک اٹھے

خروش نالۂ غم کیا جو سوز جسم و جاں تک ہے

سراپا آرزو بن کر کمال مدعا ہو جا

وہ ننگ عشق ہے جو آرزو آہ و فغاں تک ہے

زمانہ چاہیے تکمیل ذوق لذت غم کو

ابھی دنیائے دل محدود ذکر این و آں تک ہے

بیابان محبت کی نوازش پوچھنا کیا ہے

امید و بیم کی حالت فقط سود و زیاں تک ہے

کہاں سے لائے گی دنیا ہماری ہمتیں آسیؔ

محبت میں قدم اپنا فقط کون و مکاں تک ہے

عبدالعلیم آسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De

Abdul Aleem Aasi

jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de
ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-astan tak hai

nawed-e-rustagari par abas dil-shad hota hai
abhi sad dam ai bulbul-e-qafas se aashiyan tak hai

ye ehsas-e-talluq mujh ko miTne bhi nahin deta
ki teri dastan ka rabt meri dastan tak hai

tarana chheD wo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk uTThe
KHarosh-e-nala-e-gham kya jo soz-e-jism-o-jaan tak hai

sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja
wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai

zamana chahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko
abhi duniya-e-dil mahdud zikr-e-in-o-an tak hai

bayaban-e-mohabbat ki nawazish puchhna kya hai
ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyan tak hai

kahan se laegi duniya hamari himmaten 'asi'
mohabbat mein qadam apna faqat kaun-o-makan tak hai

(649) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De written by Abdul Aleem Aasi at UrduPoint. Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De is one of the masterpieces written by Abdul Aleem Aasi. You can also find the complete poetry collection of Abdul Aleem Aasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Aleem Aasi' above.

Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.