Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne, Urdu Ghazal By Abdul Hadi Wafa

Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Hadi Wafa. Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne comes under the Love, Social category of Urdu Ghazal. You can read Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے کسی نے گھر بنایا میرے گھر کے سامنے

عبد الہادی وفا

بے کسی نے گھر بنایا میرے گھر کے سامنے

رو رہا ہوں بیٹھ کر دیوار و در کے سامنے

بسکہ نیرنگ تغافل تھا نظر کے سامنے

موت بھی کھوئی گئی کیا بنجر کے سامنے

عبرت واماندگاں ہوں حسرت وارفتگاں

اک طرف بیٹھا ہوا ہوں رہ گزر کے سامنے

شوق رسوائی کو بھی خاکہ اڑانا تھا ضرور

حشر اک تصویر عکسی ہے نظر کے سامنے

بخت بد نے فتنۂ روز جزا کے پردہ میں

آئنہ رکھا جنون بے خبر کے سامنے

عمر بڑھتی ہے فریب آرزو کی یاد میں

آرزو مٹتی ہے اس بیداد گر کے سامنے

ہوں وہ مست شیوۂ ساقی کہ ساغر کی طرح

سینکڑوں میخانے پھرتے ہیں نظر کے سامنے

انتظار شوق کی یہ ناتمامی ہائے ہائے

مر گیا ہوں نامہ دے کر نامہ بر کے سامنے

بخت محنت آزما کی نارسائی ہائے ہائے

مٹ گیا ہوں جادۂ راہ سفر کے سامنے

راہزن کو ڈھونڈھتا ہے شوق آزادی طلب

شکوۂ باد گراں ہے راہبر کے سامنے

آئنے سے کھنچتے ہیں گویا بہت ہی سادے ہیں

وہ نہ ٹھہرے اپنی چشم فتنہ گر کے سامنے

ہاں ابھی بزم خیال غیر سے آیا ہوں میں

تم نہ آنا میرے شوق پردہ در کے سامنے

رہ گزار کاروان آرزو اب مٹ گیا

منزلیں تھیں دل کی پہلو میں جگر کے سامنے

اے وفاؔ قطرہ بھی ہے شامل کمال بحر میں

عیب ہو کر آئے ہم اہل ہنر کے سامنے

عبد الہادی وفا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne

Abdul Hadi Wafa

be-kasi ne ghar banaya mere ghar ke samne
ro raha hun baiTh kar diwar-o-dar ke samne

bas-ki nairang-e-taghaful tha nazar ke samne
maut bhi khoi gai kya banjar ke samne

ibrat-e-wamandgan hun hasrat-e-waraftagan
ek taraf baiTha hua hun rahguzar ke samne

shauq-e-ruswai ko bhi KHaka uDana tha zarur
hashr ek taswir-e-aksi hai nazar ke samne

baKHt-e-bad ne fitna-e-roz-e-jaza ke parde mein
aaina rakkha junun-e-be-KHabar ke samne

umr baDhti hai fareb-e-arzu ki yaad mein
aarzu miTti hai us bedad-gar ke samne

hon wo mast-e-shewa-e-saqi ki saghar ki tarah
sainkaDon maiKHane phirte hain nazar ke samne

intizar-e-shauq ki ye na-tamami hae hae
mar gaya hun nama de kar nama-bar ke samne

baKHt-e-mehnat-azma ki na-rasai hae hae
miT gaya hun jada-e-rah-e-safar ke samne

rahzan ko DhunDhta hai shauq-e-azadi talab
shikwa-e-baad-e-garan hai rahbar ke samne

aaine se khinchte hain goya bahut hi sade hain
wo na Thahre apni chashm-e-fitnagar ke samne

han abhi bazm-e-KHayal-e-ghair se aaya hun main
tum na aana mere shauq-e-parda-dar ke samne

rahguzar-e-karwan-e-arzu ab miT gaya
manzilen thin dil ki pahlu mein jigar ke samne

ai 'wafa' qatra bhi hai shamil kamal-e-bahr mein
aib ho kar aae hum ahl-e-hunar ke samne

(1163) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne written by Abdul Hadi Wafa at UrduPoint. Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne is one of the masterpieces written by Abdul Hadi Wafa. You can also find the complete poetry collection of Abdul Hadi Wafa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Hadi Wafa' above.

Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-kasi Ne Ghar Banaya Mere Ghar Ke Samne, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.