Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya, Urdu Ghazal By Abdul Hadi Wafa

Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Hadi Wafa. Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بھول کر پہلوئے امید میں آیا نہ گیا

عبد الہادی وفا

بھول کر پہلوئے امید میں آیا نہ گیا

جو پتا ہم کو بتایا تھا وہ پایا نہ گیا

قلم انداز فنا ہوں مری وقعت دیکھو

میں ہوں وہ حرف مکرر جو مٹایا نہ گیا

اس تکلف پہ کہاں لطف ہم آغوشی کا

آپ سے پہلوئے تصویر میں آیا نہ گیا

وہ ادا اور تھی یہ اور ہے پھر اور سہی

بے نیازی سے کوئی رنگ جمایا نہ گیا

اس رکاوٹ میں بھی نیرنگ دل آویزی ہے

روٹھ جانے کی ہے خوبی کہ منایا نہ گیا

دے دیا طاق سے آئینہ اٹھا کر ان کو

حال مجھ سے دل حیراں کا دکھایا نہ گیا

ورق حشر لگایا ہے عدم کے پیچھے

جب مرا حال خموشی سے جتایا نہ گیا

ربط و بے ربطیٔ انفاس سے کچھ بھی نہ ہوا

یہ غبار غم دل تھا کہ اڑایا نہ گیا

بیکس ہائے تمنا سے حیا آنے لگی

تیری تصویر کو سینہ سے لگایا نہ گیا

دیکھنا چرخ جفا کار کی مجبوری کو

اس طرح ہم کو گرایا کہ اٹھایا نہ گیا

اے وفاؔ آرزوئے مرگ نے جی چھوڑ دیا

دست احباب سے اب زہر بھی کھایا نہ گیا

عبد الہادی وفا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya

Abdul Hadi Wafa

bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya
jo pata hum ko bataya tha wo paya na gaya

qalam-andaz-e-fana hun meri waqat dekho
main hun wo harf-e-mukarrar jo miTaya na gaya

is takalluf pe kahan lutf ham-aghoshi ka
aap se pahlu-e-taswir mein aaya na gaya

wo ada aur thi ye aur hai phir aur sahi
be-niyazi se koi rang jamaya na gaya

is rukawaT mein bhi nairang-e-dil-awezi hai
ruTh jaane ki hai KHubi ki manaya na gaya

de diya taq se aaina uTha kar un ko
haal mujh se dil-e-hairan ka dikhaya na gaya

waraq-e-hashr lagaya hai adam ke pichhe
jab mera haal KHamoshi se jataya na gaya

rabt-o-be-rabti-e-anfas se kuchh bhi na hua
ye ghubar-e-gham-e-dil tha ki uDaya na gaya

bekasi-ha-e-tamanna se haya aane lagi
teri taswir ko sine se lagaya na gaya

dekhna charKH-e-jafa-kar ki majburi ko
is tarah hum ko giraya ki uThaya na gaya

ai 'wafa' aarzu-e-marg ne ji chhoD diya
dast-e-ahbab se ab zahr bhi khaya na gaya

(893) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya written by Abdul Hadi Wafa at UrduPoint. Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya is one of the masterpieces written by Abdul Hadi Wafa. You can also find the complete poetry collection of Abdul Hadi Wafa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Hadi Wafa' above.

Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bhul Kar Pahlu-e-ummid Main Aaya Na Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.