Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota, Urdu Ghazal By Abdul Hadi Wafa

Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Hadi Wafa. Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر ایک کو ہر مرتبہ حاصل نہیں ہوتا

عبد الہادی وفا

ہر ایک کو ہر مرتبہ حاصل نہیں ہوتا

آئینہ سکندر کے مقابل نہیں ہوتا

بے لطف ہے وہ کام مصیبت نہیں جس میں

بے قدر ہے وہ عقدہ جو مشکل نہیں ہوتا

تم وصل میں دیوانگئ شوق سے ڈرنا

میں کشمکش ناز سے بیدل نہیں ہوتا

کس کام کا اے قیس ترا چاک گریباں

لیلیٰ کا اگر پردۂ محمل نہیں ہوتا

میں خرمن امید ہوں تو برق غضب ہے

تجھ سے بجز افسوس کے حاصل نہیں ہوتا

کیا ظلم ہے بے پردہ اسے غیر نے دیکھا

کیوں پردہ مری آنکھ کا حائل نہیں ہوتا

نالے سے نہ کیوں درد جگر اور بھی بڑھتا

دشنے سے سوا زخم کے حاصل نہیں ہوتا

ہوں مثل حباب اور کہیں قطرہ ہوں کہیں موج

میں ذوق فنا سے کبھی غافل نہیں ہوتا

کہتے ہیں مرے زخم یہ ہنس ہنس کے مزہ میں

ایسا نمکیں خندۂ قاتل نہیں ہوتا

ہاں غیر بھی کیا دعویٔ الفت میں ہے جھوٹا

کہتے ہو کسی پر کوئی مائل نہیں ہوتا

کھویا تمہیں عشاق کی بے حوصلگی نے

محشر میں تمہارا کوئی سائل نہیں ہوتا

جادہ پہ چلے جاتے ہیں جو راست قدم ہیں

یہ خضر جدا تا سر منزل نہیں ہوتا

اندازہ ہمت سے کوئی شے نہیں بڑھتی

یعنی خط ساغر خط ساحل نہیں ہوتا

ہر خال سیہ داغ جگر بن نہیں سکتا

ہر قطرۂ خوناب کبھی دل نہیں ہوتا

تجھ کو ہی مگر آگ لگانی نہیں آتی

کیا طور سے اچھا بھی کوئی دل نہیں ہوتا

دنیا سے وفاؔ سرد یہاں تک ہے مرا دل

میں سوز جہنم کا بھی قائل نہیں ہوتا

عبد الہادی وفا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota

Abdul Hadi Wafa

har ek ko har martaba hasil nahin hota
aaina sikandar ke muqabil nahin hota

be-lutf hai wo kaam musibat nahin jis mein
be-qadr hai wo uqda jo mushkil nahin hota

tum wasl mein diwangi-e-shauq se Darna
main kashmakash-e-naz se be-dil nahin hota

kis kaam ka ai qais tera chaak-e-gareban
laila ka agar parda-e-mahmil nahin hota

main KHirman-e-ummid hun tu barq-e-ghazab hai
tujh se ba-juz afsos ke hasil nahin hota

kya zulm hai be-parda use ghair ne dekha
kyun parda meri aankh ka hail nahin hota

nale se na kyun dard-e-jigar aur bhi baDhta
dashne se siwa zaKHm ke hasil nahin hota

hun misl-e-habab aur kahin qatra hun kahin mauj
main zauq-e-fana se kabhi ghafil nahin hota

kahte hain mere zaKHm ye hans hans ke maza mein
aisa namkin KHanda-e-qatil nahin hota

han ghair bhi kya dawa-e-ulfat mein hai jhuTa
kahte ho kisi par koi mail nahin hota

khoya tumhein ushshaq ki be-hauslagi ne
mahshar mein tumhaara koi sail nahin hota

jada pe chale jate hain jo rast qadam hain
ye KHizr juda ta-sar-e-manzil nahin hota

andaza-e-himmat se koi shai nahin baDhti
yani KHat-e-saghar KHat-e-sahil nahin hota

har KHal-e-siyah dagh-e-jigar ban nahin sakta
har qatra-e-KHunab kabhi dil nahin hota

tujh ko hi magar aag lagani nahin aati
kya tur se achchha bhi koi dil nahin hota

duniya se 'wafa' sard yahan tak hai mera dil
main soz-e-jahannam ka bhi qail nahin hota

(642) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota written by Abdul Hadi Wafa at UrduPoint. Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota is one of the masterpieces written by Abdul Hadi Wafa. You can also find the complete poetry collection of Abdul Hadi Wafa by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Hadi Wafa' above.

Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek Ko Har Martaba Hasil Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.