Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane, Urdu Ghazal By Abdul Kareem Shaiq

Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdul Kareem Shaiq. Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس گلستاں میں بسوں میں وہی ویرانہ بنے

عبدالکریم شائق

جس گلستاں میں بسوں میں وہی ویرانہ بنے

برق لوٹے وہیں جس جا مرا کاشانہ بنے

تجھ سے کام اتنا تو اے ہمت مردانہ بنے

برق لوٹی ہے جہاں پھر وہیں کاشانہ بنے

ہم تو مٹ کر بھی نہ خشت خم مے خانہ بنے

ہم سے خاک اچھی ہے جس خاک سے پیمانہ بنے

آشنا ہو وہ ترا سب سے جو بیگانہ بنے

ہوش اسی کے ہیں بجا جو ترا دیوانہ بنے

تیرے ہاتھوں سے اگر شمع لحد ہو روشن

اڑ کے ہر ذرہ مری قبر کا پروانہ بنے

شعلۂ حسن کی یوں سیر کہاں سب کو نصیب

قسمت اس خاک کی جس خاک سے پروانہ بنے

دل شکستوں کو بھی ہے محفل ساقی میں جگہ

ٹوٹ بھی جائے اگر شیشہ تو پیمانہ بنے

اے تصور ہے نہاں شان سلیماں تجھ میں

تو اگر چاہے تو گھر میرا پری خانہ بنے

شائقؔ اس بزم میں ہم صورت تصویر ہیں چپ

کیا کریں بات جہاں بات کا افسانہ بنے

عبدالکریم شائق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane

Abdul Kareem Shaiq

jis gulistan mein basun main wahi virana bane
barq lauTe wahin jis ja mera kashana bane

tujh se kaam itna to ai himmat-e-mardana bane
barq lauTi hai jahan phir wahin kashana bane

hum to miT kar bhi na KHisht-e-KHum-e-mai-KHana bane
hum se KHak achchhi hai jis KHak se paimana bane

aashna ho wo tera sab se jo begana bane
hosh usi ke hain baja jo tera diwana bane

tere hathon se agar sham-e-lahad ho raushan
uD ke har zarra meri qabr ka parwana bane

shoala-e-husn ki yun sair kahan sab ko nasib
qismat us KHak ki jis KHak se parwana bane

dil shikaston ko bhi hai mahfil-e-saqi mein jagah
TuT bhi jae agar shisha to paimana bane

ai tasawwur hai nihan shan-e-sulaiman tujh mein
tu agar chahe to ghar mera pari-KHana bane

'shaeq' is bazm mein hum surat-e-taswir hain chup
kya karen baat jahan baat ka afsana bane

(521) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane written by Abdul Kareem Shaiq at UrduPoint. Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane is one of the masterpieces written by Abdul Kareem Shaiq. You can also find the complete poetry collection of Abdul Kareem Shaiq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Kareem Shaiq' above.

Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Gulistan Mein Basun Main Wahi Virana Bane, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.