Gharib Ki Duniya, Urdu Nazam By Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

Gharib Ki Duniya is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi. Gharib Ki Duniya comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Gharib Ki Duniya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غریب کی دنیا

عبدالقیوم زکی اورنگ آبادی

زمیں سے آسماں تک سردیوں کا فیض جاری ہے

کہ ان خاموش راتوں میں مسلسل برف باری ہے

چھپے بیٹھے ہیں سردی سے پرندے آشیانوں میں

جدھر دیکھو چھپے بیٹھے ہیں سب اپنے مکانوں میں

ہوائیں سرد چلتی ہیں فضائے آسمانی سے

لٹے ہیں نقرئی کہرے فلک کی راجدھانی سے

مگر اس برف باری سے ہے کیا غم مالداروں کو

کہ ڈر طوفاں سے کچھ ہوتا نہیں ہے آبشاروں کو

مصیبت کی گھڑی کا کیا اثر ہو زرپرستوں پر

کہ ہوتی ہے زمیں بھی تنگ اکثر تنگ دستوں پر

گزر اوقات کرتے ہیں کبھی دیوار کے نیچے

کبھی اشجار کے نیچے کبھی کہسار کے نیچے

یہ دنیا ہے امیروں کی غریبوں کی نہیں دنیا

کہیں پر کاش ہوتی نا توانوں کی بھی اک دنیا

جہاں پر پیٹ بھرنے کے لئے نان جویں ملتی

ذرا آرام کرنے کے لئے تھوڑی زمیں ملتی

جہاں ان بے نواؤں کا بھی ہمدرد آسماں ہوتا

جہاں تسکین دل ہوتی جہاں آرام جاں ہوتا

عبدالقیوم زکی اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gharib Ki Duniya

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

zamin se aasman tak sardiyon ka faiz jari hai
ki in KHamosh raaton mein musalsal barf-bari hai

chhupe baiThe hain sardi se parinde aashiyanon mein
jidhar dekho chhupe baiThe hain sab apne makanon mein

hawaen sard chalti hain faza-e-asmani se
luTe hain nuqrai kohre falak ki rajdhani se

magar is barf-bari se hai kya gham maldaron ko
ki Dar tufan se kuchh hota nahin hai aabshaaron ko

musibat ki ghaDi ka kya asar ho zar-paraston par
ki hoti hai zamin bhi tang aksar tang-daston par

guzar-auqat karte hain kabhi diwar ke niche
kabhi ashjar ke niche kabhi kohsar ke niche

ye duniya hai amiron ki gharibon ki nahin duniya
kahin par kash hoti na-tawanon ki bhi ek duniya

jahan par peT bharne ke liye nan-e-jawin milti
zara aaram karne ke liye thoDi zamin milti

jahan in be-nawaon ka bhi hamdard aasman hota
jahan taskin-e-dil hoti jahan aaram-e-jaan hota

(529) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gharib Ki Duniya written by Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi at UrduPoint. Gharib Ki Duniya is one of the masterpieces written by Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi' above.

Gharib Ki Duniya is a widely read Urdu Nazam. If you like Gharib Ki Duniya, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.