Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh, Urdu Ghazal By Abdur Rauf Urooj

Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdur Rauf Urooj. Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہ قدر دید نہ تھے تیری انجمن کے چراغ

عبد الرؤف عروج

بہ قدر دید نہ تھے تیری انجمن کے چراغ

مری نگاہ فروزاں ہوئی ہے بن کے چراغ

ہزار باد حوادث ہزار صرصر غم

جلا رہا ہوں مگر عظمت چمن کے چراغ

نقوش شہر نگاراں ابھارتے ہی رہے

مرے جنوں کے اجالے تری لگن کے چراغ

سواد عصر میں فردا کی تابناکی ہے

بجھا دیے گئے اندیشۂ کہن کے چراغ

ہجوم غم میں ہوا تھا یہ کون نغمہ سرا

جلی ہے تیرگئ شام درد بن کے چراغ

نہ باد دشت و بیاباں نہ شام رنج و بلا

لہو سے اپنے جلاتے ہیں ہم وطن کے چراغ

جلو میں تابش قندیل آگہی لے کر

بجھا دئے ہیں محبت نے اہرمن کے چراغ

زمانہ شام بلا سے سوال کرتا ہے

کدھر گئے وہ ترے دور پر فتن کے چراغ

شرار نطق ہوا صرف ہر خیال عروجؔ

جلے تو بجھ نہ سکے شوخئ سخن کے چراغ

عبد الرؤف عروج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh

Abdur Rauf Urooj

ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charagh
meri nigah farozan hui hai ban ke charagh

hazar baad-e-hawadis hazar sarsar-e-gham
jala raha hun magar azmat-e-chaman ke charagh

nuqush-e-shahr-e-nigaran ubhaarte hi rahe
mere junun ke ujale teri lagan ke charagh

sawad-e-asr mein farda ki tabnaki hai
bujha diye gae andesha-e-kuhan ke charagh

hujum-e-gham mein hua tha ye kaun naghma-sara
jali hai tirgi-e-sham dard ban ke charagh

na baad-e-dasht-o-bayaban na sham-e-ranj-o-bala
lahu se apne jalate hain ham-watan ke charagh

jilau mein tabish-e-qindil-e-agahi le kar
bujha diye hain mohabbat ne ahrman ke charagh

zamana sham-e-bala se sawal karta hai
kidhar gae wo tere daur-e-pur-fitan ke charagh

sharar-e-nutq hua sarf-e-har-KHayal 'uruj'
jale to bujh na sake shoKHi-e-suKHan ke charagh

(747) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh written by Abdur Rauf Urooj at UrduPoint. Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh is one of the masterpieces written by Abdur Rauf Urooj. You can also find the complete poetry collection of Abdur Rauf Urooj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdur Rauf Urooj' above.

Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ba-qadr-e-did Na The Teri Anjuman Ke Charagh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.