Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya, Urdu Ghazal By Abdur Rauf Urooj

Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdur Rauf Urooj. Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ نہ کیا ارباب جنوں نے پھر بھی اتنا کام کیا

عبد الرؤف عروج

کچھ نہ کیا ارباب جنوں نے پھر بھی اتنا کام کیا

دار بہ دار افتاد سے کھیلے زلف بہ زلف آرام کیا

ساون شعلے بھڑکے گلشن گلشن آگ لگی

کیسا سورج ابھرا جس نے صبح کو آتش نام کیا

تنہائی بھی سناٹے بھی دل کو ڈستے جاتے ہیں

رہ گیرو کس دیس میں آ کر ہم نے آج قیام کیا

قریۂ گل سے دشت بلا تک اہل ہوس کی یورش تھی

کچھ تو سمجھ کر دیوانوں نے ترک جادۂ عام کیا

رات کے ہاتھوں کب تک رہتا شہر نگاراں تیرہ و تار

اپنے لہو سے ہم نے چراغاں آخر گام بہ گام کیا

عیش بھی گزرے رنج بھی گزرے دل کی حالت ایک رہی

کب جشن آغاز منایا کب خوف انجام کیا

میرؔ کے گیانی لاکھوں دیکھے میرؔ سی کس میں بات عروجؔ

میری بیتی آپ نے کہہ لیں خود کو عبث بد نام کیا

عبد الرؤف عروج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya

Abdur Rauf Urooj

kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya
dar-ba-dar uftad se khele zulf-ba-zulf aaram kiya

sawan shoale bhaDke gulshan gulshan aag lagi
kaisa suraj ubhra jis ne subh ko aatish-nam kiya

tanhai bhi sannaTe bhi dil ko Daste jate hain
rahgiro kis des mein aa kar hum ne aaj qayam kiya

qarya-e-gul se dasht-e-bala tak ahl-e-hawas ki yurish thi
kuchh to samajh kar diwanon ne tark-e-jada-e-am kiya

raat ke hathon kab tak rahta shahr-e-nigaran tira-o-tar
apne lahu se hum ne charaghan aaKHir gam-ba-gam kiya

aish bhi guzre ranj bhi guzre dil ki haalat ek rahi
kab jashn-e-aghaz manaya kab KHauf-e-anjam kiya

'mir' ke gyani lakhon dekhe 'mir' si kis mein baat 'uruj'
meri biti aap ne kah len KHud ko abas badnam kiya

(751) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya written by Abdur Rauf Urooj at UrduPoint. Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya is one of the masterpieces written by Abdur Rauf Urooj. You can also find the complete poetry collection of Abdur Rauf Urooj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdur Rauf Urooj' above.

Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.