Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai, Urdu Ghazal By Abdussamad Khan Qaiser

Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abdussamad Khan Qaiser. Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے منزلوں کی ہے جستجو نہ کسی ڈگر کی تلاش ہے

عبدالصمد خاں قیصر

مجھے منزلوں کی ہے جستجو نہ کسی ڈگر کی تلاش ہے

جو مری نظر کو سمجھ سکے مجھے اس نظر کی تلاش ہے

مجھے پاس دیر و حرم نہیں مری بندگی ہے وہ بندگی

جہاں خود بخود مرا سر جھکے اسی سنگ در کی تلاش ہے

یہ جہان رنج و الم تو ہے یہاں روز و شب یہی غم تو ہے

نہ ہو جس کی پھر کوئی شام غم مجھے اس سحر کی تلاش ہے

میں بھٹک رہا ہوں ادھر ادھر کوئی ہم سفر ہے نہ راہبر

مری منزلوں سے جو خود ملے اسی رہ گزر کی تلاش ہے

میں پریشاں حال ہوں اس قدر کہ ہے چشم تر تو حزیں جگر

جہاں چل کے دل کو سکوں ملے اسی بام و در کی تلاش ہے

میں مثال شمع مزار ہوں میں ظفرؔ کا اجڑا دیار ہوں

میں وہی ہوں قیصرؔ غم زدہ مجھے پھر ظفر کی تلاش ہے

عبدالصمد خاں قیصر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai

Abdussamad Khan Qaiser

mujhe manzilon ki hai justuju na kisi Dagar ki talash hai
jo meri nazar ko samajh sake mujhe us nazar ki talash hai

mujhe pas-e-dair-o-haram nahin meri bandagi hai wo bandagi
jahan KHud-baKHud mera sar jhuke usi sang-e-dar ki talash hai

ye jahan-e-ranj-o-alam to hai yahan roz-o-shab yahi gham to hai
na ho jis ki phir koi sham-e-gham mujhe us sahar ki talash hai

main bhaTak raha hun idhar udhar koi ham-safar hai na rahbar
meri manzilon se jo KHud mile usi rahguzar ki talash hai

main pareshan-haal hun is qadar ki hai chashm-e-tar to hazin jigar
jahan chal ke dil ko sukun mile usi baam-o-dar ki talash hai

main misal-e-shama-e-mazar hun main 'zafar' ka ujDa dayar hun
main wahi hun 'qaisar'-e-gham-zada mujhe phir zafar ki talash hai

(1498) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai written by Abdussamad Khan Qaiser at UrduPoint. Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai is one of the masterpieces written by Abdussamad Khan Qaiser. You can also find the complete poetry collection of Abdussamad Khan Qaiser by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abdussamad Khan Qaiser' above.

Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhe Manzilon Ki Hai Justuju Na Kisi Dagar Ki Talash Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.