Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan, Urdu Ghazal By Abrar Abid

Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abrar Abid. Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan comes under the category of Urdu Ghazal. You can read Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لب پہ مرے فریاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

ابرار عابد

لب پہ مرے فریاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

مجھ کو کچھ بھی یاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

قلب شکستہ پر جو نہ گزری مجھ آشفتہ پر جو نہ بیتی

ایسی کوئی افتاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

تھا جو ارمانوں کا ڈیرا آرزوؤں کا حسیں بسیرا

اب وہ مکاں آباد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

کیسی صبح کی سرد ہوائیں کیسی شام کی مست فضائیں

طائر دل آزاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

غم کی کشتی کھے سکتا ہوں ساغر ہاتھ میں لے سکتا ہوں

اذن دل برباد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

چھین لیا ہونٹوں کا تبسم خشک کیا آنکھوں کا قلزم

کچھ کم یہ بیداد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

چھیڑ نہ ماضی کے افسانے یاد دلا مت گئے زمانے

دل عابدؔ کا شاد نہیں ہے اے غم دنیا اے غم جاناں

ابرار عابد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan

Abrar Abid

lab pe mere fariyaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan
mujh ko kuchh bhi yaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

qalb-e-shikasta par jo na guzri mujh aashufta par jo na biti
aisi koi uftad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

tha jo armanon ka Dera aarzuon ka hasin basera
ab wo makan aabaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

kaisi subh ki sard hawaen kaisi sham ki mast fazaen
tair-e-dil aazad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

gham ki kashti khe sakta hun saghar hath mein le sakta hun
izn-e-dil barbaad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

chhin liya honTon ka tabassum KHushk kiya aankhon ka qulzum
kuchh kam ye bedad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

chheD na mazi ke afsane yaad dila mat gae zamane
dil 'abid' ka shad nahin hai ai gham-e-duniya ai gham-e-jaanan

(765) ووٹ وصول ہوئے

You can read Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan written by Abrar Abid at UrduPoint. Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan is one of the masterpieces written by Abrar Abid. You can also find the complete poetry collection of Abrar Abid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abrar Abid' above.

Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan is a widely read Urdu Ghazal. If you like Lab Pe Mere Fariyaad Nahin Hai Ai Gham-e-duniya Ai Gham-e-jaanan, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.