Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar, Urdu Ghazal By Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Mohammad Wasil Bahraichi. Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar comes under the Love, Sad, Bewafa, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسرت دید رہی دید کا خواہاں ہو کر

ابو محمد واصل بہرائچی

حسرت دید رہی دید کا خواہاں ہو کر

دل میں رہتے ہیں مگر رہتے ہیں ارماں ہو کر

وہ مرے پاس ہیں احساس یہ ہوتا ہے ضرور

اس قدر دور ہیں نزدیک رگ جاں ہو کر

ہوش میں لانے کی تدبیر نہ کر اے ناصح

میں نے پایا ہے انہیں چاک گریباں ہو کر

خانۂ دل ہے تمہارا تمہیں رہ سکتے ہو

غیر کو حق یہ نہیں ہے رہے مہماں ہو کر

در جاناں پہ پہنچنا ہے تو اس طرح پہنچ

چاک دل چاک جگر چاک گریباں ہو کر

رخ کا شیدائی ہے مائل بہ سیر گیسو

کہیں کافر نہ وہ ہو جائے مسلماں ہو کر

تار دامن کے اڑے عشق کو معراج ملی

زیب گلشن ہوا گل چاک گریباں ہو کر

آ گیا حضرت صوفی کے در دولت پر

کیا کروں اب گہر و لعل بداماں ہو کر

لذت غم پہ کروں راحت کونین نثار

کوئی آئے نہ مرے درد کا درماں ہو کر

جب کوئی اپنی حقیقت سے جدا ہوتا ہے

ٹھوکریں کھاتا ہے دنیا میں پریشاں ہو کر

اس طرح جلوہ دکھاتے ہیں نہ میں دیکھ سکوں

دل میں رہتے ہیں مگر آنکھ سے پنہاں ہو کر

ان کا آئینہ ہوں آئینے میں ہے عکس جمال

کیوں نہ دیکھیں وہ مجھے غور سے حیراں ہو کر

ان کے جلووں میں جو کھو جاؤں تو ڈھونڈو نہ مجھے

کون ملتا ہے کسے واصل جاناں ہو کر

بعد از مرگ عنایات میں تفریق نہ کی

دل میں تصویر رہی آپ کی احساں ہو کر

وقت ایسا بھی پڑا بادیہ پیمائی میں

راہ میں گل جو ملے خار بہ داماں ہو کر

ابو محمد واصل بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

hasrat-e-did rahi did ka KHwahan ho kar
dil mein rahte hain magar rahte hain arman ho kar

wo mere pas hain ehsas ye hota hai zarur
is qadar dur hain nazdik rag-e-jaan ho kar

hosh mein lane ki tadbir na kar ai naseh
main ne paya hai unhen chaak-e-gareban ho kar

KHana-e-dil hai tumhaara tumhin rah sakte ho
ghair ko haq ye nahin hai rahe mehman ho kar

dar-e-jaanan pe pahunchna hai to is tarah pahunch
chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban ho kar

ruKH ka shaidai hai mail-ba-asir-e-gesu
kahin kafir na wo ho jae musalman ho kar

tar daman ke uDe ishq ko mearaj mili
zeb-e-gulshan hua gul chaak-gareban ho kar

aa gaya hazrat-e-sufi ke dar-e-daulat par
kya karun ab guhar-o-lal-ba-daman ho kar

lazzat-e-gham pe karun rahat-e-kaunain nisar
koi aae na mere dard ka darman ho kar

jab koi apni haqiqat se juda hota hai
Thokaren khata hai duniya mein pareshan ho kar

is tarah jalwa dikhate hain na main dekh sakun
dil mein rahte hain magar aankh se pinhan ho kar

un ka aaina hun aaine mein hai aks-e-jamal
kyun na dekhen wo mujhe ghaur se hairan ho kar

un ke jalwon mein jo kho jaun to DhunDo na mujhe
kaun milta hai kise wasil-e-jaanan ho kar

baad-az-marg inayat mein tafriq na ki
dil mein taswir rahi aap ki ehsan ho kar

waqt aisa bhi paDa baadiya-paimai mein
rah mein gul jo mile KHar-ba-daman ho kar

(809) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi at UrduPoint. Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar is one of the masterpieces written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi' above.

Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hasrat-e-did Rahi Did Ka KHwahan Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.