Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya, Urdu Ghazal By Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Abu Mohammad Wasil Bahraichi. Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصورات میں ان کو بلا کے دیکھ لیا

ابو محمد واصل بہرائچی

تصورات میں ان کو بلا کے دیکھ لیا

زمانے بھر کی نظر سے چھپا کے دیکھ لیا

فسانۂ غم فرقت سنا کے دیکھ لیا

انہوں نے صرف مجھے مسکرا کے دیکھ لیا

کبھی کسی نے سر طور جا کے دیکھ لیا

کبھی کسی نے کسی کو بلا کے دیکھ لیا

نگاہ پردہ کشا کا کمال کیا کہنا

جہاں جہاں وہ چھپے اس نے جا کے دیکھ لیا

کہا تھا ان کو نہ بلواؤ وہ نہ آئیں گے

ہماری بات نہ مانی بلا کے دیکھ لیا

یہ کس کے واسطے آنسو بہائے جاتے ہیں

تمہیں کسی نے جو اس وقت آ کے دیکھ لیا

کسی نے بھی نہ دیا ساتھ مرنے والے کا

ہر اک رفیق پہ سب کچھ لٹا کے دیکھ لیا

مزاج حسن تو اک حال پر رہا قائم

لٹانے والوں نے سب کچھ لٹا کے دیکھ لیا

خوشی کی بات ہے نکلی تو حسرت دیدار

کرم نواز کو سب کچھ لٹا کے دیکھ لیا

رموز حسن جنوں آشنا رہے ورنہ

خرد پکارتی جلوے خدا کے دیکھ لیا

غرور حسن کی خودداریاں خود آ نہ سکا

شعاع حسن کو مرکز پہ لا کے دیکھ لیا

کبھی نہ تم نے مزاج دل حزیں پوچھا

بس اب معاف کرو آزما کے دیکھ لیا

کہیں ٹھکانا نہیں ہم قفس نصیبوں کا

چمن میں رہ کے نشیمن بنا کے دیکھ لیا

وفا شعار وفاؤں سے باز آ نہ سکے

انہوں نے خواب انہیں آزما کے دیکھ لیا

سوائے آپ کے کوئی نہ بن سکا اپنا

ہر ایک شخص کو اپنا بنا کے دیکھ لیا

تم آ گئے دم آخر بڑا کیا احساں

خطا معاف جو تم کو بلا کے دیکھ لیا

جو دل سے آئے زباں پر وہ راز راز کہاں

جو راز داں تھے انہیں بھی بتا کے دیکھ لیا

جنازہ دیکھ کے واصلؔ کا ہو گئے بیتاب

کفن انہوں نے بالآخر ہٹا کے دیکھ لیا

ابو محمد واصل بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

tasawwuraat mein in ko bula ke dekh liya
zamane bhar ki nazar se chhupa ke dekh liya

fasana-e-gham-e-furqat suna ke dekh liya
unhon ne sirf mujhe muskura ke dekh liya

kabhi kisi ne sar-e-tur ja ke dekh liya
kabhi kisi ne kisi ko bula ke dekh liya

nigah-e-parda-kusha ka kamal kya kahna
jahan jahan wo chhupe us ne ja ke dekh liya

kaha tha un ko na bulwao wo na aaenge
hamari baat na mani bula ke dekh liya

ye kis ke waste aansu bahae jate hain
tumhein kisi ne jo us waqt aa ke dekh liya

kisi ne bhi na diya sath marne wale ka
har ek rafiq pe sab kuchh luTa ke dekh liya

mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem
luTane walon ne sab kuchh luTa ke dekh liya

KHushi ki baat hai nikli to hasrat-e-didar
karam-nawaz ko sab kuchh luTa ke dekh liya

rumuz-e-husn junun-ashna rahe warna
KHirad pukarti jalwe KHuda ke dekh liya

ghurur-e-husn ki KHuddariyan KHud aa na saka
shua-e-husn ko markaz pe la ke dekh liya

kabhi na tum ne mizaj-e-dil-e-hazin puchha
bas ab muaf karo aazma ke dekh liya

kahin Thikana nahin hum qafas-nasibon ka
chaman mein rah ke nasheman bana ke dekh liya

wafa-shiar wafaon se baz aa na sake
unhon ne KHwab unhen aazma ke dekh liya

siwae aap ke koi na ban saka apna
har ek shaKHs ko apna bana ke dekh liya

tum aa gae dam-e-aKHir baDa kiya ehsan
KHata muaf jo tum ko bula ke dekh liya

jo dil se aae zaban par wo raaz raaz kahan
jo raazdan the unhen bhi bata ke dekh liya

janaza dekh ke 'wasil' ka ho gae betab
kafan unhon ne bil-aKHir haTa ke dekh liya

(812) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi at UrduPoint. Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya is one of the masterpieces written by Abu Mohammad Wasil Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Abu Mohammad Wasil Bahraichi' above.

Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.