Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage, Urdu Ghazal By Adeeb Malegavi

Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Adeeb Malegavi. Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں انجام کی تصویر اس نادان کے آگے

ادیب مالیگانوی

کہاں انجام کی تصویر اس نادان کے آگے

بنائے ریت کی دیوار جو طوفان کے آگے

حوادث کا تسلسل یوں ہی رہتا ہے زمانے میں

کسی کی جان کے پیچھے کسی کی جان کے آگے

ستارے ڈھالتی ہیں تربیت گاہیں تمدن کی

تو پھر کیوں زندگی بے نور ہے انسان کے آگے

لہو میں ڈوب کر جب اک نوائے جاں فزا نکلی

ہزاروں ساز ساکت ہو گئے اس تان کے آگے

یہ وہ دور تغیر ہے کہ جس میں خلعت شاہی

نگوں سر ہے شکستہ چادروں کی شان کے آگے

ترے قدموں سے نسبت جن کو ہے وہ سر جھکیں کیونکر

کسی مغرور کے در پر کسی سلطان کے آگے

ہماری ہی نظر پروردہ ہے وہ بے اماں بجلی

کڑکتی ہے جو ہر فرعون‌‌ بے سامان کے آگے

نکھارا ہو جسے اہل ہنر نے اپنا خوں دے کر

وہ فن بے رنگ کیا ہوتا کسی بحران کے آگے

زمانہ سرد کر دے گا ادیبؔ ان شعلہ زاروں کو

نئی دنیا کی جنت ہے نئے انسان کے آگے

ادیب مالیگانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage

Adeeb Malegavi

kahan anjam ki taswir us nadan ke aage
banae ret ki diwar jo tufan ke aage

hawadis ka tasalsul yunhi rahta hai zamane mein
kisi ki jaan ke pichhe kisi ki jaan ke aage

sitare Dhaalti hain tarbiyat-gahen tamaddun ki
to phir kyon zindagi be-nur hai insan ke aage

lahu mein Dub kar jab ek nawa-e-jaan-faza nikli
hazaron saz sakit ho gae us tan ke aage

ye wo daur-e-taghayyur hai ki jis mein KHilat-e-shahi
nigun sar hai shikasta chadaron ki shan ke aage

tere qadmon se nisbat jin ko hai wo sar jhuken kyunkar
kisi maghrur ke dar par kisi sultan ke aage

hamari hi nazar parwarda hai wo be-aman bijli
kaDakti hai jo har firaun-e-be-saman ke aage

nikhaara ho jise ahl-e-hunar ne apna KHun de kar
wo fan be-rang kya hota kisi bohran ke aage

zamana sard kar dega 'adib' in shola-zaron ko
nai duniya ki jannat hai nae insan ke aage

(1186) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage written by Adeeb Malegavi at UrduPoint. Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage is one of the masterpieces written by Adeeb Malegavi. You can also find the complete poetry collection of Adeeb Malegavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Adeeb Malegavi' above.

Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Anjam Ki Taswir Us Nadan Ke Aage, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.