Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir, Urdu Ghazal By Adnan Hamid

Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Adnan Hamid. Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لئے پھرتا ہے خوں آلود کب تک پیرہن آخر

عدنان حامد

لئے پھرتا ہے خوں آلود کب تک پیرہن آخر

ملے گا بعد مرنے کے سفیدہ اک کفن آخر

نہ آئے مجھ سے کیوں کر خوشبو مشک ہرن آخر

چھوا تھا صندلی ہاتھوں سے اس نے یہ بدن آخر

مچا اک رن ہے دنیا میں نہتھا شخص ہوں میں یاں

جیوں کیسے رہوں کب تک یہاں میں خیمہ زن آخر

اڑا ہے فاختہ جب سے ڈیوڑھی سے مرے گھر کی

پلٹ کے آ گئی واپس مرے گھر کی گھٹن آخر

پھپھک کر رو رہے یوں یہ تم کیوں مر نہیں جاتے

نہیں میں مر نہیں سکتا نہیں ہوں کوہ کن آخر

کسی بھی آدمی کو پھینک دو گر خشک کنوئیں میں

نکل سکتا نہیں ہے وہ سوائے معجزن آخر

کہے جاتی ہے اودھو سے یہ رو رو کر کے ہر گوپی

بتا اب کب ستائیں گے مجھے مرے کشن آخر

مرے سینے میں اک لڑکی کہیں پر دفن ہے یارو

بھلاؤں میں اسے کیسے کروں کتنے جتن آخر

کسی کو چاہ نہیں سکتا ہوں میں اس کے سوا حامدؔ

یہ جادو منتروں کا ہے وہ ٹھہری برہنہ آخر

عدنان حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir

Adnan Hamid

liye phirta hai KHun-alud kab tak pairahan aaKHir
milega baad marne ke safeda ek kafan aaKHir

na aae mujh se kyunkar KHushbu-e-mushk-e-hiran aaKHir
chhua tha sandali hathon se us ne ye badan aaKHir

macha ek ran hai duniya mein nihattha shaKHs hun main yan
jiyun kaise rahun kab tak yahan main KHema-zan aaKHir

uDa hai faKHta jab se DyoDhi se mere ghar ki
palaT ke aa gai wapas mere ghar ki ghuTan aaKHir

phaphak kar ro rahe yun ye tum kyon mar nahin jate
nahin main mar nahin sakta nahin hun kohkan aaKHir

kisi bhi aadmi ko phenk do gar KHushk kunen mein
nikal sakta nahin hai wo siwae mojazan aaKHir

kahe jati hai udhau se ye ro ro kar ke har gopi
bata ab kab sataenge mujhe mere kishan aaKHir

mere sine mein ek laDki kahin par dafn hai yaro
bhulaun main use kaise karun kitne jatan aaKHir

kisi ko chah nahin sakta hun main us ke siwa 'hamid'
ye jadu mantaron ka hai wo Thahri barahna aaKHar

(1026) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir written by Adnan Hamid at UrduPoint. Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir is one of the masterpieces written by Adnan Hamid. You can also find the complete poetry collection of Adnan Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Adnan Hamid' above.

Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir is a widely read Urdu Ghazal. If you like Liye Phirta Hai KHun-alud Kab Tak Pairahan AaKHir, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.