Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin, Urdu Ghazal By Afsar Allahabadi

Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afsar Allahabadi. Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ بھی نہیں جو یاد بتان حسیں نہیں

افسر الہ آبادی

کچھ بھی نہیں جو یاد بتان حسیں نہیں

جب وہ نہیں تو دل بھی ہمارا کہیں نہیں

کس وقت خوں فشاں نہیں آنکھیں فراق میں

کس روز تر لہو سے یہاں آستیں نہیں

ایسا نہ پایا کوئی بھی اس بت کا نقش پا

جس پر کہ عاشقوں کے نشان جبیں نہیں

ہر پردہ دار وقت پر آتا نہیں ہے کام

ایک آستیں ہے آنکھوں پر اک آستیں نہیں

دونوں جہاں سے کام نہیں ہم کو عشق میں

اچھا تو ہے جو اپنا ٹھکانا کہیں نہیں

کیا ہر طرف ہے نزع میں اپنی نگاہ یاس

زانو پر اس کے سر جو دم واپسیں نہیں

دونوں میں سو طرح کے بکھیڑے ہیں عمر بھر

اے عشق مجھ کو حوصلۂ کفر و دیں نہیں

وہ مہر وش جو آیا تھا کل اور اوج تھا

آج آسماں پہ میرے مکاں کی زمیں نہیں

کیا آنکھ اٹھا کے نزع میں دیکھوں کسی کو میں

بالیں پر آپ ہی جو دم واپسیں نہیں

پیدا ہوئی ضرور کوئی ناخوشی کی بات

بے وجہ یہ حضور کی چین جبیں نہیں

خیر آ کے فاتحہ کبھی اخلاص سے پڑھے

اس بے وفا کی ذات سے یہ بھی یقیں نہیں

خلعت ملی جنوں سے عجب قطع کی مجھے

دامن ہیں چاک جیب قبا آستیں نہیں

افسرؔ جو اس جہان میں کل تک تھے حکمراں

آج ان کا بہر نام بھی تاج و نگیں نہیں

افسر الہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin

Afsar Allahabadi

kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin
jab wo nahin to dil bhi hamara kahin nahin

kis waqt KHun-fishan nahin aankhen firaq mein
kis roz tar lahu se yahan aastin nahin

aisa na paya koi bhi us but ka naqsh-e-pa
jis par ki aashiqon ke nishan-e-jabin nahin

har parda-dar waqt par aata nahin hai kaam
ek aastin hai aankhon par ek aastin nahin

donon jahan se kaam nahin hum ko ishq mein
achchha to hai jo apna Thikana kahin nahin

kya har taraf hai naza mein apni nigah-e-yas
zanu par us ke sar jo dam-e-wapsin nahin

donon mein sau tarah ke bakheDe hain umr bhar
ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-din nahin

wo mehr-wash jo aaya tha kal aur auj tha
aaj aasman pe mere makan ki zamin nahin

kya aankh uTha ke naza mein dekhun kisi ko main
baalin par aap hi jo dam-e-wapsin nahin

paida hui zarur koi na-KHushi ki baat
be-wajh ye huzur ki chin-e-jabin nahin

KHair aa ke fatiha kabhi iKHlas se paDhe
us bewafa ki zat se ye bhi yaqin nahin

KHilat mili junun se ajab qata ki mujhe
daman hain chaak jeb qaba aastin nahin

'afsar' jo is jahan mein kal tak the hukmaran
aaj un ka bahar-e-nam bhi taj-o-nagin nahin

(627) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin written by Afsar Allahabadi at UrduPoint. Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin is one of the masterpieces written by Afsar Allahabadi. You can also find the complete poetry collection of Afsar Allahabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Allahabadi' above.

Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.