Bahaar Ke Din, Urdu Nazam By Afsar Merathi

Bahaar Ke Din is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Afsar Merathi. Bahaar Ke Din comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Bahaar Ke Din on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بہار کے دن

افسر میرٹھی

آیا ہے بہار کا زمانہ

باغوں کے نکھار کا زمانہ

کلیاں کیا کیا چٹک رہی ہیں

ساری روشیں مہک رہی ہیں

ہلکی ہلکی یہ ان کی خوشبو

پھیلی ہوئی ہے چمن میں ہر سو

چڑیاں گاتی ہیں گیت پیارے

سنتے ہیں چمن میں پھول سارے

شاخوں کا بنا لیا ہے جھولا

پھولوں سے لدا ہوا ہے جھولا

کونپل ہر اک ہے کیسی پیاری

سبزی میں جھلک رہی ہے سرخی

کتنی راحت فزا ہوا ہے

گویا جنت کا در کھلا ہے

خوش خوش ہر ایک آدمی ہے

ہر شے میں بلا کی دل کشی ہے

یہ صبح کا دل فریب منظر

یہ شام کا حسن روح پرور

یہ رات کو چاندنی کا عالم

اللہ رے بے خودی کا عالم

کیسی دلچسپ چاندنی ہے

چادر اک نور کی تنی ہے

ہر دل میں امنگ کس قدر ہے

سب پر ہی بہار کا اثر ہے

سڑکوں پہ جو لوگ جا رہے ہیں

غزلیں افسرؔ کی گار رہے ہیں

افسر میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bahaar Ke Din

Afsar Merathi

aaya hai bahaar ka zamana
baghon ke nikhaar ka zamana
kaliyan kya kya chaTak rahi hain
sari raushen mahak rahi hain
halki halki ye un ki KHushbu
phaili hui hai chaman mein har su
chiDiyan gati hain git pyare
sunte hain chaman mein phul sare
shaKHon ka bana liya hai jhula
phulon se lada hua hai jhula
konpal har ek hai kaisi pyari
sabzi mein jhalak rahi hai surKHi
kitni rahat-faza hua hai
goya jannat ka dar khula hai
KHush KHush har ek aadmi hai
har shai mein bala ki dilkashi hai
ye subh ka dil-fareb manzar
ye sham ka husn ruh-parwar
ye raat ko chandni ka aalam
allah re be-KHudi ka aalam
kaisi dilchasp chandni hai
chadar ek nur ki tani hai
har dil mein umang kis qadar hai
sab par hi bahaar ka asar hai
saDkon pe jo log ja rahe hain
ghazlen 'afsar' ki gar rahe hain

(1382) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bahaar Ke Din written by Afsar Merathi at UrduPoint. Bahaar Ke Din is one of the masterpieces written by Afsar Merathi. You can also find the complete poetry collection of Afsar Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Merathi' above.

Bahaar Ke Din is a widely read Urdu Nazam. If you like Bahaar Ke Din, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.