Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate, Urdu Ghazal By Afsar Saleem Afsar

Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afsar Saleem Afsar. Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہزاروں سر کسی کے پاؤں پر دیکھے نہیں جاتے

افسر سلیم افسر

ہزاروں سر کسی کے پاؤں پر دیکھے نہیں جاتے

نظام زر کے یہ زیر و زبر دیکھے نہیں جاتے

احاطے یہ رواجوں کے یہ دیواریں سماجوں کی

دلوں کے شہر میں پتھر کے گھر دیکھے نہیں جاتے

الٹ دو ان نقابوں کو یہ پردے چاک کر ڈالو

گھٹاؤں کے لپیٹے میں قمر دیکھے نہیں جاتے

مسرت جن سے برگشتہ اذیت جان کا حصہ

یہ لاشے زندگی کے دوش پر دیکھے نہیں جاتے

کسی کا ذکر ہی چھیڑو کہ دل کے داغ روشن ہوں

یہ منہ کالے اندھیرے رات بھر دیکھے نہیں جاتے

لفافہ صرف بدلا ہے ابھی مضموں نہیں بدلا

وہی رہبر بہ انداز دگر دیکھے نہیں جاتے

نظر سے جب نظر ملتی ہے عالم اور ہوتا ہے

اتر آتے ہیں وہ دل میں مگر دیکھے نہیں جاتے

کسی کا دل ہتھیلی پر تمہاری کیا قیامت ہے

یہ ٹکڑے کانچ کے یوں آنچ پر دیکھے نہیں جاتے

کبھی آنکھیں کبھی ہم دل کبھی جاں تک بچھاتے ہیں

گلوں کے پاؤں افسرؔ خاک پر دیکھے نہیں جاتے

افسر سلیم افسر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate

Afsar Saleem Afsar

hazaron sar kisi ke panw par dekhe nahin jate
nizam-e-zar ke ye zer-o-zabar dekhe nahin jate

ahate ye riwajon ke ye diwaren samajon ki
dilon ke shahar mein patthar ke ghar dekhe nahin jate

ulaT do in naqabon ko ye parde chaak kar Dalo
ghaTaon ke lapeTe mein qamar dekhe nahin jate

masarrat jin se bargashta aziyyat jaan ka hissa
ye lashe zindagi ke dosh par dekhe nahin jate

kisi ka zikr hi chheDo ki dil ke dagh raushan hon
ye munh kale andhere raat bhar dekhe nahin jate

lifafa sirf badla hai abhi mazmun nahin badla
wahi rahbar ba-andaz-e-digar dekhe nahin jate

nazar se jab nazar milti hai aalam aur hota hai
utar aate hain wo dil mein magar dekhe nahin jate

kisi ka dil hatheli par tumhaari kya qayamat hai
ye TukDe kanch ke yun aanch par dekhe nahin jate

kabhi aankhen kabhi hum dil kabhi jaan tak bichhate hain
gulon ke panw 'afsar' KHak par dekhe nahin jate

(1019) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate written by Afsar Saleem Afsar at UrduPoint. Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate is one of the masterpieces written by Afsar Saleem Afsar. You can also find the complete poetry collection of Afsar Saleem Afsar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afsar Saleem Afsar' above.

Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hazaron Sar Kisi Ke Panw Par Dekhe Nahin Jate, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.