KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain, Urdu Ghazal By Afzal Parvez

KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afzal Parvez. KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain comes under the category of Urdu Ghazal. You can read KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوش قسمت ہیں وہ جو گاؤں میں لمبی تان کے سوتے ہیں

افضل پرویز

خوش قسمت ہیں وہ جو گاؤں میں لمبی تان کے سوتے ہیں

ہم تو شہر کے شور میں شب بھر اپنی جان کو روتے ہیں

کس کس درد کو اپنائیں اور کس کس زخم کو سہلائیں

دیکھتی آنکھوں قدم قدم پر کئی حوادث ہوتے ہیں

دل کی دلی لٹ گئی اس کے ایوانوں میں غدر مچی

خودداری کے مغل شہزادے شہر میں ٹھلیا ڈھوتے ہیں

خوش لحنوں کے لیے گلشن بھی کنج قفس بن جائے تو

جبر کے گن گاتے ہیں یا نغموں میں درد سموتے ہیں

شام نے دن کا ساتھ چھڑایا رات نے دشت میں آن لیا

ایسے سفر میں رہ گیروں پر سانس بھی دوبھر ہوتے ہیں

میں تو اپنی جان پہ کھیل کے پیار کی بازی جیت گیا

قاتل ہار گئے جو اب تک خون کے چھینٹے دھوتے ہیں

دل کے زیاں کا سبب کیا پوچھو ان طوفانوں کو دیکھو

جن کے بھنور ساحل کے سفینوں کو بھی آن ڈبوتے ہیں

پرویزؔ آج نہیں ملتی ہے خم کے بھاؤ تلچھٹ بھی

اس پر طرہ یہ ہے کہ ساقی نشتر طعن چبھوتے ہیں

افضل پرویز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain

Afzal Parvez

KHush-qismat hain wo jo ganw mein lambi tan ke sote hain
hum to shahr ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain

kis kis dard ko apnaen aur kis kis zaKHm ko sahlaen
dekhti aankhon qadam qadam par kai hawadis hote hain

dil ki dilli luT gai is ke aiwanon mein ghadar machi
KHuddari ke mughal shahzade shahr mein Thaliya Dhote hain

KHush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jae to
jabr ke gun gate hain ya naghmon mein dard samote hain

sham ne din ka sath chhuDaya raat ne dasht mein aan liya
aise safar mein rahgiron par sans bhi dubhar hote hain

main to apni jaan pe khel ke pyar ki bazi jit gaya
qatil haar gae jo ab tak KHun ke chhinTe dhote hain

dil ke ziyan ka sabab kya puchho un tufanon ko dekho
jin ke bhanwar sahil ke safinon ko bhi aan Dubote hain

'parwez' aaj nahin milti hai KHum ke bhaw talchhaT bhi
is par turra ye hai ki saqi nashtar-e-tan chubhote hain

(942) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain written by Afzal Parvez at UrduPoint. KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain is one of the masterpieces written by Afzal Parvez. You can also find the complete poetry collection of Afzal Parvez by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afzal Parvez' above.

KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.