Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi, Urdu Ghazal By Afzal Safi

Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Afzal Safi. Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تم بھی تھے سر دار سر دار تھا میں بھی

افضل صفی

تم بھی تھے سر دار سر دار تھا میں بھی

تم دیکھ تو لیتے کہ نمودار تھا میں بھی

یہ جسم رکاوٹ تھا میرے عشق میں شاید

اور سچ ہے کہ اس جسم سے بیزار تھا میں بھی

ممکن ہے کہ بیتاب رہا ہو کبھی تو بھی

یادوں کی اذیت میں گرفتار تھا میں بھی

بازار میں لایا گیا یوسف کی طرح میں

کچھ دیر سہی رونق بازار تھا میں بھی

خود اپنے تعاقب میں نکل آیا تھا گھر سے

خود اپنی عداوت میں گرفتار تھا میں بھی

چہروں کی جگہ صرف خراشیں ہیں نمایاں

بستی میں کبھی آئینہ بردار تھا میں بھی

اے گردش دوراں یہ تغیر نہیں اچھا

تو سوچ کبھی صاحب دستار تھا میں بھی

خود بیچنے نکلا تھا صفیؔ خود کو جہاں میں

اور بھیڑ میں خود اپنا خریدار تھا میں بھی

افضل صفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi

Afzal Safi

tum bhi the sar-e-dar sar-e-dar tha main bhi
tum dekh to lete ki numudar tha main bhi

ye jism rukawaT tha mere ishq mein shayad
aur sach hai ki is jism se bezar tha main bhi

mumkin hai ki betab raha ho kabhi tu bhi
yaadon ki aziyyat mein giraftar tha main bhi

bazar mein laya gaya yusuf ki tarah main
kuchh der sahi raunaq-e-bazar tha main bhi

KHud apne taaqub mein nikal aaya tha ghar se
KHud apni adawat mein giraftar tha main bhi

chehron ki jagah sirf KHarashen hain numayan
basti mein kabhi aaina-bardar tha main bhi

ai gardish-e-dauran ye taghayyur nahin achchha
tu soch kabhi sahab-e-dastar tha main bhi

KHud bechne nikla tha safi' KHud ko jahan mein
aur bhiD mein KHud apna KHaridar tha main bhi

(882) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi written by Afzal Safi at UrduPoint. Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi is one of the masterpieces written by Afzal Safi. You can also find the complete poetry collection of Afzal Safi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Afzal Safi' above.

Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tum Bhi The Sar-e-dar Sar-e-dar Tha Main Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.