Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب سے ہوا ہے عشق ترے اسم ذات کا

آغا حجو شرف

جب سے ہوا ہے عشق ترے اسم ذات کا

آنکھوں میں پھر رہا ہے مرقع نجات کا

مالک ہی کے سخن میں تلون جو پائیے

کہئے یقین لائیے پھر کس کی بات کا

دفتر ہماری عمر کا دیکھو گے جب کبھی

فوراً اسے کرو گے مرقع نجات کا

الفت میں مر مٹے ہیں تو پوچھے ہی جائیں گے

اک روز لطف اٹھائیں گے اس واردات کا

سرخی کی خط شوق میں حاجت جہاں ہوئی

خون جگر میں نوک ڈبویا دوات کا

موجد جو نور کا ہے وہ میرا چراغ ہے

پروانہ ہوں میں انجمن کائنات کا

اے شمع بزم یار وہ پروانہ کون تھا

لو میں تری یہ داغ ہے جس کی وفات کا

مجھ سے تو لن ترانیاں اس نے کبھی نہ کیں

موسی جواب دے نہ سکے جس کی بات کا

اس بے خودی کا دیں گے خدا کو وہ کیا جواب

دم بھرتے ہیں جو چند نفس کے حباب کا

قدسی ہوے مطیع وہ طاعت بشر نے کی

کل اختیار حق نے دیا کائنات کا

ایسا عتاب نامہ تو دیکھا سنا نہیں

آیا ہے کس کے واسطے سورہ برات کا

ذی روح مجھ کو تو نے کیا مشت خاک سے

بندہ رہوں گا میں ترے اس التفات کا

ناچیز ہوں مگر میں ہوں ان کا فسانہ گو

قرآن حمد نامہ ہے جن کی صفات کا

رویا ہے میرا دیدۂ تر کس شہید کو

مشہور ہو گیا ہے جو چشمہ فرات کا

آئے تو آئے عالم ارواح سے وہاں

دم بھر جہاں نہیں ہے بھروسا ثبات کا

دھوم اس کے حسن کی ہے دو عالم میں اے شرفؔ

خورشید روز کا ہے وہ مہتاب رات کا

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka

Agha Hajju Sharaf

jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka
aankhon mein phir raha hai muraqqa najat ka

malik hi ke suKHan mein talawwun jo paiye
kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka

daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi
fauran use karoge muraqqa najat ka

ulfat mein mar miTe hain to puchhe hi jaenge
ek roz lutf uThaenge is wardat ka

surKHi ki KHatt-e-shauq mein hajat jahan hui
KHun-e-jigar mein nok Duboya dawat ka

mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka

ai sham-e-bazm-e-yar wo parwana kaun tha
lau mein teri ye dagh hai jis ki wafat ka

mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kin
musi jawab de na sake jis ki baat ka

is be-KHudi ka denge KHuda ko wo kya jawab
dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka

qudsi hue mutia wo taat bashar ne ki
kul iKHtiyar haq ne diya kaenat ka

aisa itab-nama to dekha suna nahin
aaya hai kis ke waste sura baraat ka

zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-KHak se
banda rahunga main tere is iltifat ka

nachiz hun magar main hun un ka fasana-go
quran hamd-nama hai jin ki sifat ka

roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko
mashhur ho gaya hai jo chashma furaat ka

aae to aae aalam-e-arwah se wahan
dam bhar jahan nahin hai bharosa sabaat ka

dhum us ke husn ki hai do-alam mein ai 'shraf'
KHurshid roz ka hai wo mahtab raat ka

(612) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.