Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جشن تھا عیش و طرب کی انتہا تھی میں نہ تھا

آغا حجو شرف

جشن تھا عیش و طرب کی انتہا تھی میں نہ تھا

یار کے پہلو میں خالی میری جا تھی میں نہ تھا

اس نے کب برخاست اے دل محفل معراج کی

کس سے پوچھوں رات کم تھی یا سوا تھی میں نہ تھا

میں تڑپ کر مر گیا دیکھا نہ اس نے جھانک کر

اس ستم گر کو عزیز اپنی حیا تھی میں نہ تھا

وعدہ لے لیتا کہ کھلوانہ نہ مجھ کو ٹھوکریں

عالم ارواح میں جس جا قضا تھی میں نہ تھا

صرف کرتا کس خوشی سے جا کے اس میں اپنی خاک

کیا کہوں جس دن بنائی کربلا تھی میں نہ تھا

منہ نہ کھل سکتا نہ ہوتے ہم کلام ان سے کلیم

عمر بھر حسرت ہی رہتی بات کیا تھی میں نہ تھا

لے گئی تھی مجھ کو حسرت جانب خود رفتگی

جس طرف کو منزل بیم و رجا تھی میں نہ تھا

دل الٹ جاتا مرا یا دم نکل جاتا مرا

شکر ہے جب لن ترانی کی صدا تھی میں نہ تھا

لالہ و گل کو بچا لیتا خزاں سے اے شرفؔ

باغ میں جس وقت نازل یہ بلا تھی میں نہ تھا

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha

Agha Hajju Sharaf

jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha
yar ke pahlu mein KHali meri ja thi main na tha

us ne kab barKHast ai dil mahfil-e-mearaj ki
kis se puchhun raat kam thi ya sawa thi mein na tha

main taDap kar mar gaya dekha na us ne jhank kar
us sitamgar ko aziz apni haya thi main na tha

wada le leta ki khilwana na mujh ko Thokaren
aalam-e-arwah mein jis ja qaza thi main na tha

sarf karta kis KHushi se ja ke us mein apni KHak
kya kahun jis din banai karbala thi main na tha

munh na khul sakta na hote ham-kalam un se kalim
umr bhar hasrat hi rahti baat kya thi main na tha

le gai thi mujh ko hasrat jaanib-e-KHud-raftagi
jis taraf ko manzil-e-bim-o-raja thi main na tha

dil ulaT jata mera ya dam nikal jata mera
shukr hai jab lan-tarani ki sada thi main na tha

lala-o-gul ko bacha leta KHizan se ai 'sharaf'
bagh mein jis waqt nazil ye bala thi main na tha

(631) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jashn Tha Aish-o-tarab Ki Intiha Thi Main Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.