KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خدا معلوم کس کی چاند سے تصویر مٹی کی

آغا حجو شرف

خدا معلوم کس کی چاند سے تصویر مٹی کی

جو گورستاں میں حسرت ہے گریباں گیر مٹی کی

نوازی سرفرازی روح نے تصویر مٹی کی

خوشا تالع خوشا قسمت خوشا تقدیر مٹی کی

حقیقت میں عجائب شعبدہ پرداز دنیا ہے

کہ جو انسان کی صورت تھا وہ ہے تصویر مٹی کی

جسے رویا میں دیکھا تھا ملایا خاک میں اس نے

مقدر نے ہمارے خواب کی تعبیر مٹی کی

مزاروں میں دکھا کر استخواں حسرت یہ کہتی ہے

کوئی پرساں نہیں ان کا یہ ہے توقیر مٹی کی

یہ ناحق برہمی ہے خاکساروں کے غباروں سے

خرابی آندھیوں نے کی ہے بے تقصیر مٹی کی

وہ وحشی تھا کہ مر کے بھی نہ میدان جنوں چھوٹا

مری میت رہی صحرا میں دامن گیر مٹی کی

نہ لی تربت کو گلشن میں جگہ لی بھی تو صحرا میں

ریاضت سب ہماری تو نے اے تقدیر مٹی کی

مرے صیاد نے جس جس جگہ تودہ بنایا تھا

وہاں جا جا کے بو لیتے پھرے نخچیر مٹی کی

ازل کے روز سے غش ہیں جو انساں خاکساری پر

سرشت ان کی ہے مٹی سے یہ ہے تاثیر مٹی کی

یہ عالم ہو گیا ہے جمتے جمتے گرد صحرائی

کہ مجنوں پوچھتا ہے کیا یہ ہے زنجیر مٹی کی

ہمارے خاک کے تودے کو نابود آ کے کر دیں گے

نشانی بھی نہ چھوڑیں گے تمہارے تیر مٹی کی

اجازت سے تمہاری گفتگو کی سنگریزوں نے

برابر سننے والوں نے سنی تقریر مٹی کی

گلی میں یار کی ایسے ہوئے ہو گرد آلودہ

کہ بالکل ہو گئے ہو اے شرفؔ تصویر مٹی کی

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki

Agha Hajju Sharaf

KHuda-malum kis ki chand se taswir miTTi ki
jo goristan mein hasrat hai gareban-gir miTTi ki

nawazi sarfaraazi ruh ne taswir miTTi ki
KHusha-tale KHusha-qismat KHusha-taqdir miTTi ki

haqiqat mein ajaib-shobada-pardaz-e-duniya hai
ki jo insan ki surat tha wo hai taswir miTTi ki

jise ruya mein dekha tha milaya KHak mein us ne
muqaddar ne hamare KHwab ki tabir miTTi ki

mazaron mein dikha kar ustuKHan hasrat ye kahti hai
koi pursan nahin un ka ye hai tauqir miTTi ki

ye nahaq barhami hai KHaksaron ke ghubaron se
KHarabi aandhiyon ne ki hai be-taqsir miTTi ki

wo wahshi tha ki mar ke bhi na maidan-e-junun chhuTa
meri mayyat rahi sahra mein daman-gir miTTi ki

na li turbat ko gulshan mein jagah li bhi to sahra mein
riyazat sab hamari tu ne ai taqdir miTTi ki

mere sayyaad ne jis jis jagah tuda banaya tha
wahan ja ja ke bu lete phire naKHchir miTTi ki

azal ke roz se ghash hain jo insan KHaksari par
sarisht un ki hai miTTi se ye hai tasir miTTi ki

ye aalam ho gaya hai jamte jamte gard-e-sahrai
ki majnun puchhta hai kya ye hai zanjir miTTi ki

hamare KHak ke tude ko nabud aa ke kar denge
nishani bhi na chhoDenge tumhaare tir miTTi ki

ijazat se tumhaari guftugu ki sang-rezo ne
barabar sunne walon ne suni taqrir miTTi ki

gali mein yar ki aise hue ho gard-aluda
ki bilkul ho gae ho ai 'sharaf' taswir miTTi ki

(703) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.