Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رہا کرتے ہیں یوں عشاق تیری یاد و حسرت میں

آغا حجو شرف

رہا کرتے ہیں یوں عشاق تیری یاد و حسرت میں

بسے رہتے ہیں جیسے پھول اپنی اپنی نکہت میں

کھچا حسن وفا ہو کر جو یہ تصویر وحدت میں

خدا کا نور شامل ہو گیا انساں کی صورت میں

نہیں ہے لذت دنیا و ما فیہا جو قسمت میں

خدا معلوم حصہ ہے مرا کس خوان نعمت میں

صفائی رخ بڑھی ایسی ہوا آئینہ حیرت میں

جوانی میں نظر آنے لگا منہ اس کی صورت میں

پھلوں پھولوں گا میں دنیا سے جا کر باغ جنت میں

ازل سے پرورش ہوتا ہوں میں گل زار رحمت میں

محل عشق میں جو خون مشتاقوں کا بہتا ہے

ہوا کرتی ہیں رنگ آمیزیاں اس کی عمارت میں

کرو ایسی ادائیں ہم سے ہم تصویر ہو جائیں

رہیں ہم اور تم اک جاں دو قالب ہو کے خلوت میں

ملی ہے میری قسمت سے مجھے نعمت توکل کی

جو مرغوب خدا ہیں وہ مزے ہیں اس کی لذت میں

خدائی وجد کرتی ہے جہاں میں چہچہاتا ہوں

ہزاروں میں ہوں اک بلبل ترے گل زار قدرت میں

نماز پنجگانہ میں بھی ہر جا ذکر اسی کا ہے

تشہد میں اذاں میں سجدے میں نیت میں رکعت میں

مچل جانے پر اس نافہم کے رحم اس کو آیا ہے

لیا ہے میرے طفل اشک کو دامان رحمت میں

دل آزاری کا ہم صورت سے اپنے مشورہ لیں گے

الٰہی خیر آئینہ طلب ہوتا ہے خلوت میں

مرے پر بھی شرفؔ کی دونوں آنکھیں ڈبڈباتی ہیں

خدا جانے کہ دم نکلا ہے ان کا کس کی حسرت میں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein

Agha Hajju Sharaf

raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein
base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein

khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein
KHuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein

nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein
KHuda-malum hissa hai mera kis KHwan-e-neamat mein

safai-ruKH baDhi aisi hua aaina hairat mein
jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein

phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein
azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein

mahall-e-ishq mein jo KHun mushtaqon ka bahta hai
hua karti hain rang-ameziyan us ki imarat mein

karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen
rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke KHalwat mein

mili hai meri qismat se mujhe neamat tawakkul ki
jo marghub-e-KHuda hain wo maze hain us ki lazzat mein

KHudai wajd karti hai jahan main chahchahata hun
hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein

namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai
tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rakat mein

machal jaane par us na-faham ke rahm us ko aaya hai
liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein

dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge
ilahi KHair aaina talab hota hai KHalwat mein

mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen DabDabaati hain
KHuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein

(654) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.