SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سناٹے کا عالم قبر میں ہے ہے خواب عدم آرام نہیں

آغا حجو شرف

سناٹے کا عالم قبر میں ہے ہے خواب عدم آرام نہیں

امکان نمود صبح نہیں امید چراغ شام نہیں

دل نامے کے شک لے پرزے کیا اے وائے نصیبے کا یہ لکھا

پیشانی پر ان کی مہر نہیں سر نامے پہ میرا نام نہیں

جاتے ہیں جو اجڑے زندہ چمن اس باغ جہاں کی وجہ یہ ہے

گل زار یہ جس گلفام کا ہے اس باغ میں وہ گلفام نہیں

بچھ جائیں گے بلبل آ کے ہزاروں ٹوٹ پڑیں گے جعل یہ ہے

صیاد گلابی پہنے ہے کپڑے چادر گل ہے دام نہیں

اس نجد میں خوف اے لیلیٰ نہ کر اس غمزدہ کی لے جا کے خبر

مجنوں سے ترا وحشی ہے ترا بے چارہ کوئی ضرغام نہیں

آگاہ کیا ہے دل کو ہمارے کس نے تمہاری خوبیوں سے

انصاف کرو منصف ہو تمہیں پھر کیا ہے جو یہ الہام نہیں

دل دیتے ہی ان کو گھلنے لگے نظروں میں اجل کے تلنے لگے

آغاز محبت سے یہ کھلا چاہت کا بخیر انجام نہیں

عالم ہے عجب گیتئ عدم کا چار طرف ہے عالم ہو

آسائش جان و روح نہیں راحت کا کوئی ہنگام نہیں

جانا ہے عدم کی راہ ہمیں ہونا ہے فنا فی اللہ ہمیں

لیتے ہیں یہاں دم چند نفس ہستی سے ہمیں کچھ کام نہیں

پھر آنکھ کبھی کھلنے کی نہیں نیند آئے گی اک دن ایسی ہمیں

ہونا ہے یہی سوچے ہیں جو ہم یہ خواب و خیال خام نہیں

چورنگ نہیں کیوں کھیلتے اب کس کشتے پہ رحم آیا ہے تمہیں

خوں ریزیوں کا کیوں شوق نہیں کیوں زیب کمر صمصام نہیں

اقلیم خموشاں سے تو سدا اک غمزدہ آتی ہے یہ صدا

ہیں سیکڑوں شاہنشاہ یہاں پر حکم نہیں احکام نہیں

دنیا میں جو تھا تابع تھا جہاں معلوم نہیں پہونچا وہ کہاں

عبرت کا محل کہتے ہیں اسے اب گور میں بھی بہرام نہیں

بلبل کی فغاں پر خندہ زنی غنچوں نے جو کی پژمردہ ہوئے

سچ ہے کہ حزین و غمزدہ ہو ہنسنے کا بخیر انجام نہیں

دیدار کے بھوکے تیرے جو ہیں ہے ختم انہیں پر نفس کشی

کچھ خواہش و فکر فوت نہیں دنیا کے مزے سے کام نہیں

تم قبر میں کیوں اٹھ بیٹھے شرفؔ آرام کرو آرام کرو

یاران وطن روتے ہیں تمہیں کچھ حشر نہیں کہرام نہیں

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin

Agha Hajju Sharaf

sannaTe ka aalam qabr mein hai hai KHwab-e-adam aaram nahin
imkan-e-numud-e-subh nahin ummid-e-charagh-e-sham nahin

dil name ke shak le purze kiya ai wae nasibe ka ye likha
peshani par un ki mohr nahin sar-name pe mera nam nahin

jate hain jo ujDe zinda chaman is bagh-e-jahan ki wajh ye hai
gulzar ye jis gulfam ka hai us bagh mein wo gulfam nahin

bichh jaenge bulbul aa ke hazaron TuT paDenge jal ye hai
sayyaad gulabi pahne hai kapDe chadar-e-gul hai dam nahin

is najd mein KHauf ai laila na kar us gham-zada ki le ja ke KHabar
majnun se tera wahshi hai tera be-chaara koi zirgham nahin

aagah kiya hai dil ko hamare kis ne tumhaari KHubiyon se
insaf karo munsif ho tumhin phir kya hai jo ye ilham nahin

dil dete hi un ko ghulne lage nazron mein ajal ke tulne lage
aaghaz-e-mohabbat se ye khula chahat ka ba-KHair anjam nahin

aalam hai ajab giti-e-adam ka chaar taraf hai aalam-e-hu
aasaish-e-jaan-o-ruh nahin rahat ka koi hangam nahin

jaana hai adam ki rah hamein hona hai fana-fillah hamein
lete hain yahan dam chand nafas hasti se hamein kuchh kaam nahin

phir aankh kabhi khulne ki nahin nind aaegi ek din aisi hamein
hona hai yahi soche hain jo hum ye KHwab-o-KHayal-e-KHam nahin

chaurang nahin kyun khelte ab kis kushte pe rahm aaya hai tumhein
KHun-reziyon ka kyun shauq nahin kyun zeb-e-kamar samsam nahin

aqlim-e-KHamoshan se to sada ek gham-zada aati hai ye sada
hain saikDon shahanshah yahan par hukm nahin ahkaam nahin

duniya mein jo tha tabe tha jahan malum nahin pahuncha wo kahan
ibrat ka mahal kahte hain ise ab gor mein bhi bahram nahin

bulbul ki fughan par KHanda-zani ghunchon ne jo ki pazhmurda hue
sach hai ki hazin-o-gham-zada ho hansne ka ba-KHair anjam nahin

didar ke bhuke tere jo hain hai KHatm unhin par nafs-kushi
kuchh KHwahish-o-fikr-e-faut nahin duniya ke maze se kaam nahin

tum qabr mein kyun uTh baiThe 'sharaf' aaram karo aaram karo
yaran-e-watan rote hain tumhein kuchh hashr nahin kohram nahin

(837) ووٹ وصول ہوئے

You can read SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like SannaTe Ka Aalam Qabr Mein Hai Hai KHwab-e-adam Aaram Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.