Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ترے واسطے جان پہ کھلیں گے ہم یہ سمائی ہے دل میں خدا کی قسم

آغا حجو شرف

ترے واسطے جان پہ کھلیں گے ہم یہ سمائی ہے دل میں خدا کی قسم

رہ عشق سے اب نہ ہٹیں گے قدم ہمیں اپنے ہی صدق و صفا کی قسم

مرے پرزے اگرچہ اڑائیے گا تو گل زخم سے مہکے گی عشق کی بو

کھنچے تیغ تری تو رگڑ دوں گلو مجھے تیرے ہی جور و جفا کی قسم

مرا نام جو یار ہے پوچھ رہا میں بتا دوں تجھے جو لقب ہے مرا

مجھے کہتے ہیں کشتۂ ناز و ادا ترے غمزۂ ہوش ربا کی قسم

لب گور اگرچہ جدائی میں ہوں مگر آئنۂ دل کی صفائی میں ہوں

ترا محو خدا کی خدائی میں ہوں مجھے اپنے ہی عشق و وفا کی قسم

کیے تم نے جو ظلم وہ میں نے سہے مری آنکھوں سے برسوں ہی اشک بہے

کوئی غمزہ و عشوہ اب اٹھ نہ رہے تمہیں اپنے ہی ناز و ادا کی قسم

شب ہجر میں آنکھ جو بند ہوئی تری زلف کی یاد دو چند ہوئی

مری سانس الجھ کے کمند ہوئی مجھے تیری ہی زلف دوتا کی قسم

تری چال سے حشر بپا جو کیا ترے خوف سے حال مری یہ ہوا

ہوئی جاتی تھی روح بدن میں فنا مجھے آمد روز جزا کی قسم

مرے ہاتھوں میں خون ملو تو ذرا تمہیں دیکھو تو رنگ دکھاتا ہے کیا

کرو آج نمود شہید ادا تمہیں شوخئ رنگ حنا کی قسم

کہا لیلیٰ نے ہے مجھے قیس کا غم مرے دل کو ہے اس کے جنوں کا الم

نہیں چین جدائی میں اب کوئی دم اسے وحشی بے سر و پا کی قسم

تری بزم کا مثل ہی یار نہیں کہ جناں میں یہ نقش و نگار نہیں

کہیں تیرے چمن سے بہار نہیں مجھے باغ ارم کی فضا کی قسم

غم دولت وصل میں ہو کے حزیں رہ عشق و وفا میں ہیں خاک نشیں

ہوس اب ہمیں جاہ و حشم کی نہیں ہمیں تیرے ہی نشو و نما کی قسم

یہ دعا ہے قفس میں برائے چمن کہ گلوں سے خدا نہ چھڑائے چمن

مجھے رکھتی ہے زندہ ہوائے چمن گل و غنچہ و باد صبا کی قسم

ترا شیفتہ ہوں مری تجھ میں ہے جاں تہ تیغ نہ کر مجھے جان جہاں

مرا غصے میں آ کے مٹا نہ نشاں تجھے جاہ و جلال خدا کی قسم

یہ ہوس ہے کہ درد جگر میں مروں جو مسیح بھی آئے تو دم نہ بھروں

کبھی تیرے سوا نہ علاج کروں مجھے تیرے ہی دست شفا کی قسم

شرف اس نے دیے ہمیں سیکڑوں دم رہے طینت صاف سے پاک ہی ہم

کہی بات اگر تو سچ ہی کہی کبھی جھوٹ نہ بولے خدا کی قسم

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam

Agha Hajju Sharaf

tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam
rah-e-ishq se ab na haTenge qadam hamein apne hi sidq-o-safa ki qasam

mere purze agarche uDaiyega to gul-e-zaKHm se mahkegi ishq ki bu
khinche tegh teri to ragaD dun gulu mujhe tere hi jaur-o-jafa ki qasam

mera nam jo yar hai puchh raha main bata dun tujhe jo laqab hai mera
mujhe kahte hain kushta-e-naz-o-ada tere ghamza-e-hosh-ruba ki qasam

lab-e-gor agarche judai mein hun magar aaina-e-dil ki safai mein hun
tera mahw KHuda ki KHudai mein hun mujhe apne hi ishq-o-wafa ki qasam

kiye tum ne jo zulm wo main ne sahe meri aankhon se barson hi ashk bahe
koi ghamza-o-ishwa ab uTh na rahe tumhein apne hi naz-o-ada ki qasam

shab-e-hijr mein aankh jo band hui teri zulf ki yaad do chand hui
meri sans ulajh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam

teri chaal se hashr bapa jo kiya tere KHauf se haal meri ye hua
hui jati thi ruh badan mein fana mujhe aamad-e-roz-e-jaza ki qasam

mere hathon mein KHun malo to zara tumhin dekho to rang dikhata hai kya
karo aaj numud-e-shahid-e-ada tumhein shoKHi-e-rang-e-hina ki qasam

kaha laila ne hai mujhe qais ka gham mere dil ko hai us ke junun ka alam
nahin chain judai mein ab koi dam use wahshi-e-be-sar-o-pa ki qasam

teri bazm ka misl hi yar nahin ki jinan mein ye naqsh-o-nigar nahin
kahin tere chaman se bahaar nahin mujhe bagh-e-iram ki faza ki qasam

gham-e-daulat-e-wasl mein ho ke hazin rah-e-ishq-o-wafa mein hain KHak-nashin
hawas ab hamein jah-o-hasham ki nahin hamein tere hi nashw-o-numa ki qasam

ye dua hai qafas mein bara-e-chaman ki gulon se KHuda na chhuDae chaman
mujhe rakhti hai zinda hawa-e-chaman gul-o-ghuncha-o-baad-e-saba ki qasam

tera shefta hun meri tujh mein hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jaan-e-jahan
mera ghusse mein aa ke miTa na nishan tujhe jah-o-jalal-e-KHuda ki qasam

ye hawas hai ki dard-e-jigar mein marun jo masih bhi aae to dam na bharun
kabhi tere siwa na ilaj karun mujhe tere hi dast-e-shifa ki qasam

sharaf us ne diye hamein saikDon dam rahe tinat saf se pak hi hum
kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhuT na bole KHuda ki qasam

(676) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.