Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha, Urdu Ghazal By Agha Hajju Sharaf

Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Hajju Sharaf. Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیر نظر سے چھد کے دل افگار ہی رہا

آغا حجو شرف

تیر نظر سے چھد کے دل افگار ہی رہا

ناسور اس میں صورت سوفار ہی رہا

دنیا سے ہے نرالی عدالت حسینوں کی

فریاد جس نے کی وہ گنہ گار ہی رہا

سودائیوں کی بھیڑ کوئی دم نہ کم ہوئی

ہر وقت گھر میں یار کے بازار ہی رہا

نرگس جو اس مسیح کی نظروں سے گر گئی

اچھے نہ پھر ہوئے اسے آزار ہی رہا

گل زار میں ہمیشہ کیے ہم نے چہچہے

صیاد و باغباں کو صدا خار ہی رہا

آئی نہ دیکھنے میں بھی تصویر یار کی

آئینہ درمیان میں دیوار ہی رہا

سرمے سے طور کے بھی نہ کچھ فائدہ ہوا

آنکھوں کو انتظار کا آزار ہی رہا

مجنوں نے میرا داغ جگر سر پہ رکھ لیا

یہ گل وہ ہے جو طرۂ دستار ہی رہا

کچھ بھی نہ مفسدوں کی دراندازیاں چلیں

اک انس مجھ سے ان سے جو تھا پیار ہی رہا

بولے وہ میری قبر جھروکے سے جھانک کر

یہ شخص مر کے بھی پس دیوار ہی رہا

ممکن نہ پھر ہوئی قفس گور سے نجات

جو اس میں پھنس گیا وہ گرفتار ہی رہا

عالم میں حسن و عشق کا افسانہ رہ گیا

یوسف ہی رہ گئے نہ خریدار ہی رہا

صیاد کو کبھی نہ مصیبت نے دی نجات

بلبل کے صبر میں یہ گرفتار ہی رہا

کیا جانے اس غریب کو کس کی نظر ہوئی

ان انکھڑیوں کا شیفتہ بیمار ہی رہا

تو رہ گیا فقط ترے سودائی رہ گئے

یوسف رہے نہ مصر کا بازار ہی رہا

راحت کسی حسیں سے بھی پائی نہ اے شرفؔ

چاہا جسے وہ درپئے آزار ہی رہا

آغا حجو شرف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha

Agha Hajju Sharaf

tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha
nasur us mein surat-e-sofar hi raha

duniya se hai nirali adalat hasinon ki
fariyaad jis ne ki wo gunahgar hi raha

saudaiyon ki bhiD koi dam na kam hui
har waqt ghar mein yar ke bazar hi raha

nargis jo us masih ki nazron se gir gai
achchhe na phir hue use aazar hi raha

gulzar mein hamesha kiye hum ne chahchahe
sayyaad o baghban ko sada KHar hi raha

aai na dekhne mein bhi taswir yar ki
aaina darmiyan mein diwar hi raha

surme se tur ke bhi na kuchh faeda hua
aankhon ko intizar ka aazar hi raha

majnun ne mera dagh-e-jigar sar pe rakh liya
ye gul wo hai jo turra-e-dastar hi raha

kuchh bhi na mufsidon ki darandaziyan chalin
ek uns mujh se un se jo tha pyar hi raha

bole wo meri qabr jharoke se jhank kar
ye shaKHs mar ke bhi pas-e-diwar hi raha

mumkin na phir hui qafas-e-gor se najat
jo is mein phans gaya wo giraftar hi raha

aalam mein husn-o-ishq ka afsana rah gaya
yusuf hi rah gae na KHaridar hi raha

sayyaad ko kabhi na musibat ne di najat
bulbul ke sabr mein ye giraftar hi raha

kya jaane us gharib ko kis ki nazar hui
un ankhDiyon ka shefta bimar hi raha

tu rah gaya faqat tere saudai rah gae
yusuf rahe na misr ka bazar hi raha

rahat kisi hasin se bhi pai na ai 'sharaf'
chaha jise wo dar-pae-azar hi raha

(724) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha written by Agha Hajju Sharaf at UrduPoint. Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha is one of the masterpieces written by Agha Hajju Sharaf. You can also find the complete poetry collection of Agha Hajju Sharaf by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Hajju Sharaf' above.

Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tir-e-nazar Se Chhid Ke Dil-afgar Hi Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.