Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki, Urdu Ghazal By Agha Shayar Qazalbash

Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Agha Shayar Qazalbash. Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیسے بال کھولے آئے کیوں صورت بنی غم کی

آغا شاعر قزلباش

یہ کیسے بال کھولے آئے کیوں صورت بنی غم کی

تمہارے دشمنوں کو کیا پڑی تھی میرے ماتم کی

شکایت کس سے کیجے ہائے کیا الٹا زمانہ ہے

بڑھایا پیار جب ہم نے محبت یار نے کم کی

جگر میں درد ہے دل مضطرب ہے جان بے کل ہے

مجھے اس بے خودی میں بھی خبر ہے اپنے عالم کی

نہیں ملتے نہ ملئے خیر کوئی مر نہ جائے گا

خدا کا شکر ہے پہلے محبت آپ نے کم کی

عدو جس طرح تم کو دیکھتا ہے ہم سمجھتے ہیں

چھپاؤ لاکھ تم چھپتی نہیں ہے آنکھ محرم کی

مزہ اس میں ہی ملتا ہے نمک چھڑکو نمک چھڑکو

قسم لے لو نہیں عادت مرے زخموں کو مرہم کی

کہاں جانا ہے تھم تھم کر چلو ایسی بھی کیا جلدی

تم ہی تم ہو خدا رکھے نظر پڑتی ہے عالم کی

کوئی ایسا ہو آئینہ کہ جس میں تو نظر آئے

زمانے بھر کا جھوٹا کیا حقیقت ساغر جم کی

گھٹائیں دیکھ کر بے تاب ہے بے چین ہے شاعرؔ

ترے قربان او مطرب سنا دے کوئی موسم کی

آغا شاعر قزلباش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki

Agha Shayar Qazalbash

ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki
tumhaare dushmanon ko kya paDi thi mere matam ki

shikayat kis se kije hae kya ulTa zamana hai
baDhaya pyar jab hum ne mohabbat yar ne kam ki

jigar mein dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai
mujhe is be-KHudi mein bhi KHabar hai apne aalam ki

nahin milte na miliye KHair koi mar na jaega
KHuda ka shukr hai pahle mohabbat aap ne kam ki

adu jis tarah tum ko dekhta hai hum samajhte hain
chhupao lakh tum chhupti nahin hai aankh mahram ki

maza is mein hi milta hai namak chiDko namak chiDko
qasam le lo nahin aadat mere zaKHmon ko marham ki

kahan jaana hai tham-tham kar chalo aisi bhi kiya jaldi
tum hi tum ho KHuda rakkhe nazar paDti hai aalam ki

koi aisa ho aaina ki jis mein tu nazar aae
zamane bhar ka jhuTa kya haqiqat saghar-e-jam ki

ghaTaen dekh kar be-tab hai bechain hai 'shair'
tere qurban o mutrib suna de koi mausam ki

(974) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki written by Agha Shayar Qazalbash at UrduPoint. Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki is one of the masterpieces written by Agha Shayar Qazalbash. You can also find the complete poetry collection of Agha Shayar Qazalbash by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Agha Shayar Qazalbash' above.

Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kaise Baal Khole Aae Kyun Surat Bani Gham Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.