KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe, Urdu Ghazal By Ahmad Ata

KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Ata. KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب کا اذن تھا تعبیر اجازت تھی مجھے

احمد عطا

خواب کا اذن تھا تعبیر اجازت تھی مجھے

وہ سمے ایسا تھا مرنے میں سہولت تھی مجھے

ایک بے برگ شجر دھند میں لپٹا ہوا تھا

شاخ پر بیٹھی دعاؤں کی ضرورت تھی مجھے

رات مسجد میں اندھیرا تو بہت تھا لیکن

یاد بھولی سی کوئی راہ عبادت تھی مجھے

اے مری جاں وہی غالبؔ کی سی حالت تھی مری

تیرے جانے کی گھڑی تھی کہ قیامت تھی مجھے

داستاں گو نے دکھا دی تھی مجھے شہزادی

اور پھر خواب میں چلنے کی بھی عادت تھی مجھے

احمد عطا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe

Ahmad Ata

KHwab ka izn tha tabir-e-ijazat thi mujhe
wo samay aisa tha marne mein suhulat thi mujhe

ek be-barg shajar dhund mein lipTa hua tha
shaKH par baiThi duaon ki zarurat thi mujhe

raat masjid mein andhera to bahut tha lekin
yaad bhuli si koi rah-e-ibaadat thi mujhe

ai meri jaan wahi 'ghaalib' ki si haalat thi meri
tere jaane ki ghaDi thi ki qayamat thi mujhe

dastan-go ne dikha di thi mujhe shahzadi
aur phir KHwab mein chalne ki bhi aadat thi mujhe

(875) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe written by Ahmad Ata at UrduPoint. KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe is one of the masterpieces written by Ahmad Ata. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Ata by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Ata' above.

KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Ka Izn Tha Tabir-e-ijazat Thi Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.