Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum, Urdu Ghazal By Ahmad Javaid

Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Javaid. Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چاک کرتے ہیں گریباں اس فراوانی سے ہم

احمد جاوید

چاک کرتے ہیں گریباں اس فراوانی سے ہم

روز خلعت پاتے ہیں دربار عریانی سے ہم

منتخب کرتے ہیں میدان شکست اپنے لیے

خاک پر گرتے ہیں لیکن اوج سلطانی سے ہم

ہم زمین قتل گہ پر چلتے ہیں سینے کے بل

جادۂ شمشیر سر کرتے ہیں پیشانی سے ہم

ہاں میاں دنیا کی چم خم خوب ہے اپنی جگہ

اک ذرا گھبرا گئے ہیں دل کی ویرانی سے ہم

ضعف ہے حد سے زیادہ لیکن اس کے باوجود

زندگی سے ہاتھ اٹھا سکتے ہیں آسانی سے ہم

دل سے باہر آج تک ہم نے قدم رکھا نہیں

دیکھنے میں ظاہرا لگتے ہیں سیلانی سے ہم

دولت دنیا کہاں رکھیں جگہ بھی ہو کہیں

بھر چکے ہیں اپنا گھر بے ساز و سامانی سے ہم

ذرہ ذرہ جگمگاتی جلوہ بارانی دوست

دیکھتے ہیں روزن دیوار حیرانی سے ہم

عقل والو خیر جانے دو نہیں سمجھوگے تم

جس جگہ پہنچے ہیں راہ چاک دامانی سے ہم

کاروبار زندگی سے جی چراتے ہیں سبھی

جیسے درویشی سے تم مثلاً جہاں بانی سے ہم

احمد جاوید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum

Ahmad Javaid

chaak karte hain gareban is farawani se hum
roz KHilat pate hain darbar-e-uryani se hum

muntaKHab karte hain maidan-e-shikast apne liye
KHak par girte hain lekin auj-e-sultani se hum

hum zamin-e-qatl-gah par chalte hain sine ke bal
jada-e-shamshir sar karte hain peshani se hum

han miyan duniya ki cham-KHam KHub hai apni jagah
ek zara ghabra gae hain dil ki virani se hum

zof hai had se ziyaada lekin is ke bawajud
zindagi se hath uTha sakte hain aasani se hum

dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin
dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum

daulat-e-duniya kahan rakkhen jagah bhi ho kahin
bhar chuke hain apna ghar be-saz-o-samani se hum

zarra zarra jagmagati jalwa-barani-e-dost
dekhte hain rauzan-e-diwar hairani se hum

aql walo KHair jaane do nahin samjhoge tum
jis jagah pahunche hain rah-e-chaak-damani se hum

karobar-e-zindagi se ji churaate hain sabhi
jaise durweshi se tum maslan jahanbani se hum

(1019) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum written by Ahmad Javaid at UrduPoint. Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum is one of the masterpieces written by Ahmad Javaid. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Javaid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Javaid' above.

Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chaak Karte Hain Gareban Is Farawani Se Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.