Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai, Urdu Ghazal By Ahmad Shanas

Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Shanas. Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس اک جہان تحیر سے آنے والا ہے

احمد شناس

بس اک جہان تحیر سے آنے والا ہے

وہ اجنبی مجھے اپنا بنانے والا ہے

گلاب سنگ کی صورت دکھانے والا ہے

کہاں کہاں وہ مجھے آزمانے والا ہے

کوئی تو دیکھنے والا ہے میری آنکھوں سے

کوئی تو ہے جو تماشہ دکھانے والا ہے

یہ چاند اور ستارے تو اک بہانہ ہیں

کچھ اور ہے جو یہاں جگمگانے والا ہے

ہر ایک جسم یہاں روح کی علامت ہے

یہ ریگزار بھی نغمہ سنانے والا ہے

بس اک سوال کی تخلیق ہے بشر جیسے

کہاں سے آیا ہے کس اور جانے والا ہے

اسے خبر ہے کہاں روشنی کا ماخذ ہے

وہ تیرگی میں دلوں کو جلانے والا ہے

امیر اس کی امانت اٹھا نہیں سکتا

فقیر اصل میں اس کا خزانے والا ہے

وہ ایک پیاس کا لمحہ جو میرے اندر ہے

کبھی کبھی تو سمندر لٹانے والا ہے

وہ خاکسار کو دیتا ہے پھول حصے میں

وہ سنگ زار میں دریا بہانے والا ہے

بہت عزیز ہے زیر و زبر کا کھیل اسے

بجھا بجھا کے تمنا جگانے والا ہے

وہ ایک گوہر یکتا ہے میرے ساگر میں

وہ ایک اشک کہ آنکھوں میں آنے والا ہے

ثمر کو باندھ کے رکھتا ہے وہ درختوں پر

جو پک گیا اسے نیچے گرانے والا ہے

وہ اپنے آپ ہی گھر لوٹ آئے گا احمدؔ

کسی کو کون ہمیشہ بلانے والا ہے

احمد شناس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai

Ahmad Shanas

bas ek jahan-e-tahayyur se aane wala hai
wo ajnabi mujhe apna banane wala hai

gulab sang ki surat dikhane wala hai
kahan kahan wo mujhe aazmane wala hai

koi to dekhne wala hai meri aankhon se
koi to hai jo tamasha dikhane wala hai

ye chand aur sitare to ek bahana hain
kuchh aur hai jo yahan jagmagane wala hai

har ek jism yahan ruh ki alamat hai
ye regzar bhi naghma sunane wala hai

bas ek sawal ki taKHliq hai bashar jaise
kahan se aaya hai kis or jaane wala hai

use KHabar hai kahan raushni ka maKHaz hai
wo tirgi mein dilon ko jalane wala hai

amir us ki amanat uTha nahin sakta
faqir asal mein us ka KHazane wala hai

wo ek pyas ka lamha jo mere andar hai
kabhi kabhi to samundar luTane wala hai

wo KHaksar ko deta hai phul hisse mein
wo sang-zar mein dariya bahane wala hai

bahut aziz hai zer-o-zabar ka khel use
bujha bujha ke tamanna jagane wala hai

wo ek gauhar-e-yakta hai mere sagar mein
wo ek ashk ki aankhon mein aane wala hai

samar ko bandh ke rakhta hai wo daraKHton par
jo pak gaya use niche girane wala hai

wo apne aap hi ghar lauT aaega 'ahmad'
kisi ko kaun hamesha bulane wala hai

(1133) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai written by Ahmad Shanas at UrduPoint. Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai is one of the masterpieces written by Ahmad Shanas. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Shanas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Shanas' above.

Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.