Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun, Urdu Ghazal By Ahmad Shanas

Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Shanas. Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

امروز کی کشتی کو ڈبونے کے لیے ہوں

احمد شناس

امروز کی کشتی کو ڈبونے کے لیے ہوں

کل اور کسی رنگ میں ہونے کے لیے ہوں

تو بھی ہے فقط اپنی شہادت کا طلب گار

میں بھی تو اسی درد میں رونے کے لیے ہوں

جینے کا تقاضا مجھے مرنے نہیں دیتا

مر کر بھی سمجھتا ہوں کہ ہونے کے لیے ہوں

ہاتھوں میں مرے چاند بھی لگتا ہے کھلونا

خوابوں میں فلک رنگ سمونے کے لیے ہوں

ہر بار یہ شیشے کا بدن ٹوٹ گیا ہے

ہر بار نئے ایک کھلونے کے لیے ہوں

پردیس کی راتوں میں بہت جاگ چکا میں

اب گھر کا سکوں اوڑھ کے سونے کے لیے ہوں

سینے میں کوئی زخم کہ کھلنے کے لیے ہے

آنکھوں میں کوئی اشک کہ رونے کے لیے ہوں

سادہ سی کوئی بات نہیں بھوک شکم کی

ایمان بھی روٹی میں سمونے کے لیے ہوں

وہ دشت و بیابان میں اظہار کا خواہاں

میں اپنے چمن زار میں رونے کے لیے ہوں

غاروں کا سفر ہے کہ مکمل نہیں ہوتا

میں اپنی خبر آپ ہی ڈھونے کے لیے ہوں

سورج کو نکلنے میں ذرا دیر ہے احمدؔ

پھر ذات کا ہر رنگ میں کھونے کے لیے ہوں

احمد شناس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun

Ahmad Shanas

imroz ki kashti ko Dubone ke liye hun
kal aur kisi rang mein hone ke liye hun

tu bhi hai faqat apni shahadat ka talabgar
main bhi to isi dard mein rone ke liye hun

jine ka taqaza mujhe marne nahin deta
mar kar bhi samajhta hun ki hone ke liye hun

hathon mein mere chand bhi lagta hai khilauna
KHwabon mein falak rang samone ke liye hun

har bar ye shishe ka badan TuT gaya hai
har bar nae ek khilaune ke liye hun

pardes ki raaton mein bahut jag chuka main
ab ghar ka sukun oDh ke sone ke liye hun

sine mein koi zaKHm ki khulne ke liye hai
aaankhon mein koi ashk ki rone ke liye hun

sada si koi baat nahin bhuk shikam ki
iman bhi roTi mein samone ke liye hun

wo dasht-o-bayaban mein izhaar ka KHwahan
main apne chaman-zar mein rone ke liye hun

ghaaron ka safar hai ki mukammal nahin hota
main apni KHabar aap hi Dhone ke liye hun

suraj ko nikalne mein zara der hai 'ahmad'
phir zat ka har rang main khone ke liye hun

(744) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun written by Ahmad Shanas at UrduPoint. Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun is one of the masterpieces written by Ahmad Shanas. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Shanas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Shanas' above.

Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Imroz Ki Kashti Ko Dubone Ke Liye Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.