Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai, Urdu Ghazal By Ahmad Shanas

Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Shanas. Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہاں ہر لفظ معنی سے جدا ہے

احمد شناس

یہاں ہر لفظ معنی سے جدا ہے

حقیقت زندگی سے ماورا ہے

ابھی چہرے کا خاکہ بن رہا ہے

ابھی کچھ اور بھی میرے سوا ہے

ہمیں جو کچھ ملا ناقص ملا ہے

مگر خوش فہمیوں کی انتہا ہے

کوئی چہرہ نہیں خوشبو کا لیکن

تماشا پھول والوں کا لگا ہے

میں اس کی بارشوں کا منتظر ہوں

وہ مجھ سے میرے آنسو مانگتا ہے

یہی باعث ہے میری تشنگی کا

سمندر مجھ سے پانی مانگتا ہے

جہالت روگ تھا جو دل کے اندر

وہی مذہب ہمارا ہو گیا ہے

مقدس ہو گیا ہے جھوٹ میرا

مجھے تو اب اسی کا آسرا ہے

میں پیاسا ہوں پرانے موسموں کا

مگر اب وہ زمانہ جا چکا ہے

کہانی برگ سوزاں سے عبارت

وگرنہ بحر و بر بھی حاشیہ ہے

نہیں ہے خواب سی تصویر جس کی

تو پھر اس خواب کی تعبیر کیا ہے

گماں ہنگامہ آرائی کا عادی

یقیں تنہائیوں میں بولتا ہے

یہ دنیا بے خبر لوگوں کی احمدؔ

وہ دنیا کا نہیں جو جانتا ہے

احمد شناس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai

Ahmad Shanas

yahan har lafz mani se juda hai
haqiqat zindagi se mawara hai

abhi chehre ka KHaka ban raha hai
abhi kuchh aur bhi mere siwa hai

hamein jo kuchh mila naqis mila hai
magar KHush-fahmiyon ki intiha hai

koi chehra nahin KHushbu ka lekin
tamasha phul walon ka laga hai

main us ki barishon ka muntazir hun
wo mujh se mere aansu mangta hai

yahi bais hai meri tishnagi ka
samundar mujh se pani mangta hai

jahaalat rog tha jo dil ke andar
wahi mazhab hamara ho gaya hai

muqaddas ho gaya hai jhuT mera
mujhe to ab usi ka aasra hai

main pyasa hun purane mausamon ka
magar ab wo zamana ja chuka hai

kahani barg-e-sozan se ibarat
wagarna bahr-o-bar bhi hashiya hai

nahin hai KHwab si taswir jis ki
to phir us KHwab ki tabir kya hai

guman hangama-arai ka aadi
yaqin tanhaiyon mein bolta hai

ye duniya be-KHabar logon ki 'ahmad'
wo duniya ka nahin jo jaanta hai

(959) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai written by Ahmad Shanas at UrduPoint. Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai is one of the masterpieces written by Ahmad Shanas. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Shanas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Shanas' above.

Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.