Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai, Urdu Ghazal By Ahmad Sidiqi

Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Sidiqi. Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس جیسا یہاں کوئی بھی فن کار نہیں ہے

احمد صدیقی

اس جیسا یہاں کوئی بھی فن کار نہیں ہے

قاتل ہے مگر ہاتھ میں تلوار نہیں ہے

اٹھوں گا مگر صبح تو ہونے دے مؤذن

سونے کے لئے نیند بھی درکار نہیں ہے

یوں ہے کہ فقط دیکھ کے ہوتی ہے تسلی

معمولی کوئی نقش یا دیوار نہیں ہے

درد دل مجروح کوئی سمجھے تو کیسے

اس شہر میں مجھ سا کوئی بیمار نہیں ہے

ہاتھوں میں لئے ہاتھ گزرتے رہے ہم دو

پھر جا کے ہوا علم مجھے پیار نہیں ہے

تصویر تری آنکھ ملاتی رہی دن بھر

پر ہاتھ ملانے کو یہ تیار نہیں ہے

احمد صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai

Ahmad Sidiqi

us jaisa yahan koi bhi fankar nahin hai
qatil hai magar hath mein talwar nahin hai

uThunga magar subh to hone de muazzin
sone ke liye nind bhi darkar nahin hai

yun hai ki faqat dekh ke hoti hai tasalli
mamuli koi naqsh ya diwar nahin hai

dard-e-dil-e-majruh koi samjhe to kaise
is shahr mein mujh sa koi bimar nahin hai

hathon mein liye hath guzarte rahe hum do
phir ja ke hua ilm mujhe pyar nahin hai

taswir teri aankh milati rahi din bhar
par hath milane ko ye tayyar nahin hai

(731) ووٹ وصول ہوئے

You can read Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai written by Ahmad Sidiqi at UrduPoint. Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai is one of the masterpieces written by Ahmad Sidiqi. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Sidiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Sidiqi' above.

Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Us Jaisa Yahan Koi Bhi Fankar Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.