Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain, Urdu Ghazal By Ahmad Waqas Mahrwi

Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahmad Waqas Mahrwi. Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

موت ہے اور موت کے خدشات ہیں

احمد وقاص مہروی

موت ہے اور موت کے خدشات ہیں

سنسنی ہے ان دکھے خدشات ہیں

خوف پھیلا ہے وبا کے روپ میں

قریہ قریہ پل رہے خدشات ہیں

گر کوئی تریاق ہے وہ ہے یقیں

زہر کی صورت لیے خدشات ہیں

اس صدی کے آدمی تو ہیں خدا

تو نے ہی پیدا کیے خدشات ہیں

دائرہ در دائرہ تشکیک ہے

بے طرح پھیلے ہوئے خدشات ہیں

تجھ میں ہمت ہے تو ان کو مات دے

اے نئے انساں نئے خدشات ہیں

وہ گلی کے موڑ پر ہے منتظر

ڈر رہا ہوں میں مرے خدشات ہیں

احمد وقاص مہروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain

Ahmad Waqas Mahrwi

maut hai aur maut ke KHadshat hain
sansani hai an-dikhe KHadshat hain

KHauf phaila hai waba ke rup mein
qarya qarya pal rahe KHadshat hain

gar koi tiryaq hai wo hai yaqin
zahr ki surat liye KHadshat hain

is sadi ke aadmi to hain KHuda
tu ne hi paida kiye KHadshat hain

daera dar daera tashkik hai
be-tarah phaile hue KHadshat hain

tujh mein himmat hai to in ko mat de
ai nae insan nae KHadshat hain

wo gali ke moD par hai muntazir
Dar raha hun main mere KHadshat hain

(785) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain written by Ahmad Waqas Mahrwi at UrduPoint. Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain is one of the masterpieces written by Ahmad Waqas Mahrwi. You can also find the complete poetry collection of Ahmad Waqas Mahrwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmad Waqas Mahrwi' above.

Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Maut Hai Aur Maut Ke KHadshat Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.