Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga, Urdu Nazam By Ahmed Sohail

Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ahmed Sohail. Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب کے بچھڑنا المناک ہوگا

احمد سہیل

جب خود شر وہم بن جائے

تو زندگی ٹوٹ پھوٹ جاتی ہے

حقیقت کا زہر ہم

کسی کی چاہت میں پیتے ہیں

جب سچائی لب پر لاتے ہیں

تو مار دئے جاتے ہیں

جدائی کا زینہ بہت طویل ہوتا ہے

پل صراط کی طرح

مقدر کا کنارہ نہیں ہوتا

تقدیر کا شکوہ

ہارے ہوئے سپاہی کی معذرت ہے

ہم نصیب کھو دینے کا گلہ نہیں کرتے

چپکے سے زندگی گنوا دیتے ہیں

کسی آہٹ کے بغیر

کسی کو بتلائے بغیر

اپنی عمر سے بڑا عشق کرتے ہیں

سب کچھ کھو کر تجھ میں کھو جاتے ہیں

دل پر انگاروں کا پیوند لگا لیتے ہیں

ہونٹوں پر زنجیر لٹکا لیتے ہیں

جب کوئی وعدہ کر کے بھی نہ آئے

تو مسکرا کر سو جانا چاہیے

نیند عشق سے بہتر ہے

اور عشق وعدے سے

جب کوئی تنہا چھوڑ کر چلا جائے

تو دل مہتاب کے آنگن میں

اسے نقش کر لینا چاہئے

جدائی کے سکوت گم گشتہ میں

تم نے مجھے کیوں بھلا دیا

ابھی تو کئی فسانے باقی تھے

یوں اچانک معدوم ہو جانا

کسی کو دیوانہ بنا دیتا ہے

اتنا وقت بھی نہیں ہوتا

کہ جدائی کا فرمان سنایا جا سکے

یا مخدوش کو دہلیز رنجیدہ میں دفن کر دینا

قبل رخصت شب مدہوش کے بستر سے

چاندنی کی سلوٹیں مٹا دینا

کہ اس شہر کی ہوائیں بہت داغدار ہیں

اب کے بچھڑنا المناک ہوگا

کئی گزرے سانحوں کی طرح

آؤ تمہیں ایک نوحہ سنا دوں

جو عشق کی حکایت ہے

جو داستان بنے گی

ان بے وفا دہکتی گلیوں میں

احمد سہیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga

Ahmed Sohail

jab KHud shar wahm ban jae
to zindagi TuT-phuT jati hai
haqiqat ka zahar hum
kisi ki chahat mein pite hain
jab sachchai lab par late hain
to mar diye jate hain
judai ka zina bahut tawil hota hai
pul-e-siraat ki tarah
muqaddar ka kinara nahin hota
taqdir ka shikwa
haare hue sipahi key mazarat hai
hum nasib kho dene ka gila nahin karte
chupke se zindagi ganwa dete hain
kisi aahaT ke baghair
kisi ko batlae baghair
apni umr se baDa ishq karte hain
sab kuchh kho kar tujh mein kho jate hain
dil par angaron ka paiwand laga lete hain
honTon par zanjir laTka lete hain

jab koi wada kar ke bhi na aae
to muskura kar so jaana chahiye
nind ishq se behtar hai
aur ishq wade se
jab koi tanha chhoD kar chala jae
to dil mahtab ke aangan mein
use naqsh kar lena chahiye
judai ke sukut-e-gum-gashta mein
tum ne mujhe kyon bhula diya
abhi to kai fasane baqi the
yun achanak madum ho jaana
kisi ko diwana bana deta hai
itna waqt bhi nahin hota
ki judai ka farman sunaya ja sake
ya maKHdush ko dahliz-e-ranjida mein dafn kar dena
qabl-e-ruKHsat shab-e-madhosh ke bistar se
chandni ki silwaTen miTa dena
ki is shahar ki hawaen bahut dagh-dar hain

ab ke bichhaDna alamnak hoga
kai guzre sanehon key tarah
aao tumhein ek nauha suna dun
jo ishq key hikayat hai
jo dastan banegi
un bewafa dahakti galiyon mein

(817) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga written by Ahmed Sohail at UrduPoint. Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga is one of the masterpieces written by Ahmed Sohail. You can also find the complete poetry collection of Ahmed Sohail by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahmed Sohail' above.

Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga is a widely read Urdu Nazam. If you like Ab Ke BichhaDna Alamnak Hoga, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.