Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin, Urdu Ghazal By Ahsan Aazmi

Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahsan Aazmi. Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فضائے صحن چمن آج سازگار نہیں

احسن اعظمی

فضائے صحن چمن آج سازگار نہیں

یہاں بہار تو ہے رونق بہار نہیں

ہو لاکھ حسن صفت آپ ذی وقار نہیں

امیر شہر کی صف میں اگر شمار نہیں

سکون چھن گیا آسائشوں کے ملنے سے

ہے کون آج غموں سے جو ہمکنار نہیں

تباہیوں کی طرف گامزن ہے یہ دنیا

جہاں یہ امن ہو ایسا کوئی دیار نہیں

ہو اس طرح سے نگاہ جہاں میں قدر مری

خدائے وقت ہوں میں کوئی شہر یار نہیں

ہر ایک چشم کرم میں فریب پنہاں ہے

کوئی کسی کا حقیقت میں غم گسار نہیں

ملے گی کیسے یہاں پر کسی کو پیار کی چھاؤں

شجر خلوص کا اب کوئی سایہ دار نہیں

اسے ہی کیفیت عشق کہتے ہیں شاید

ہمیں سکون نہیں ہے انہیں قرار نہیں

ابھی تو کم ہے ترے تیر نیم کش کا اثر

ابھی یہ دل مرا طوفاں سے ہمکنار نہیں

اب اتنی گر گئی یہ سطح دوستی اپنی

ہمیں یقین نہیں ان کو اعتبار میں

شب فراق ڈرائے نہ خواب وحشت سے

ہمیں تو خواب کی باتوں کا اعتبار نہیں

خدا کے خوف سے عاری ہے اس کا دل احسنؔ

خطا پہ اپنی ذرا بھی جو شرمسار نہیں

احسن اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin

Ahsan Aazmi

faza-e-sahn-e-chaman aaj sazgar nahin
yahan bahaar to hai raunaq-e-bahaar nahin

ho lakh husn-e-sifat aap zi-waqar nahin
amir-e-shahr ki saf mein agar shumar nahin

sukun chhin gaya aasaishon ke milne se
hai kaun aaj ghamon se jo ham-kanar nahin

tabahiyon ki taraf gamzan hai ye duniya
jahan ye amn ho aisa koi dayar nahin

ho is tarah se nigah-e-jahan mein qadr meri
KHuda-e-waqt hun main koi shahr-yar nahin

har ek chashm-e-karam mein fareb pinhan hai
koi kisi ka haqiqat mein gham-gusar nahin

milegi kaise yahan par kisi ko pyar ki chhanw
shajar KHulus ka ab koi saya-dar nahin

ise hi kaifiyat-e-ishq kahte hain shayad
hamein sukun nahin hai unhen qarar nahin

abhi to kam hai tere tir-e-nim-kash ka asar
abhi ye dil mera tufan se ham-kanar nahin

ab itni gir gai ye sath-e-dosti apni
hamein yaqin nahin un ko eatibar mein

shab-e-firaq Darae na KHwab-e-wahshat se
hamein to KHwab ki baaton ka eatibar nahin

KHuda ke KHauf se aari hai us ka dil 'ahsan'
KHata pe apni zara bhi jo sharmsar nahin

(621) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin written by Ahsan Aazmi at UrduPoint. Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin is one of the masterpieces written by Ahsan Aazmi. You can also find the complete poetry collection of Ahsan Aazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahsan Aazmi' above.

Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Faza-e-sahn-e-chaman Aaj Sazgar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.