Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain, Urdu Ghazal By Ahsan Aazmi

Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ahsan Aazmi. Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شکوۂ غم نہ مصائب کا گلہ کرتے ہیں

احسن اعظمی

شکوۂ غم نہ مصائب کا گلہ کرتے ہیں

رب کا ہر حال میں ہم شکر ادا کرتے ہیں

وہ عبادت نہیں کرتے ہیں ریا کرتے ہیں

جو دکھاوے کے لئے ذکر خدا کرتے ہیں

معرفت عشق کی ہو جاتی ہے جن کو حاصل

سجدۂ شوق وہ تیغوں میں ادا کرتے ہیں

ختم ہوگی نہ کبھی حق کے چراغوں کی ضیا

یہ دیے تند ہوا میں بھی جلا کرتے ہیں

اپنے بیگانے کی تفریق نہیں ان کا شعار

جو بھلے لوگ ہیں وہ سب کا بھلا کرتے ہیں

وہ بھی مجرم ہیں برابر کے ستم گر کی طرح

ہر ستم سہ کے جو خاموش رہا کرتے ہیں

جب لگا روگ محبت کا تو محسوس ہوا

لوگ کیوں عشق کو آزار کہا کرتے ہیں

حق بیانی ہے اگر جرم تو ہم ہیں مجرم

ظلم سے لڑنا خطا ہے تو خطا کرتے ہیں

حسن پیدا کرو کردار و عمل میں اپنے

غیر کو دیکھو نہ احسنؔ کہ وہ کیا کرتے ہیں

احسن اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain

Ahsan Aazmi

shikwa-e-gham na masaib ka gila karte hain
rab ka har haal mein hum shukr ada karte hain

wo ibaadat nahin karte hain riya karte hain
jo dikhawe ke liye zikr-e-KHuda karte hain

marifat ishq ki ho jati hai jin ko hasil
sajda-e-shauq wo teghon mein ada karte hain

KHatm hogi na kabhi haq ke charaghon ki ziya
ye diye tund hawa mein bhi jala karte hain

apne begane ki tafriq nahin un ka shiar
jo bhale log hain wo sab ka bhala karte hain

wo bhi mujrim hain barabar ke sitamgar ki tarah
har sitam sah ke jo KHamosh raha karte hain

jab laga rog mohabbat ka to mahsus hua
log kyon ishq ko aazar kaha karte hain

haq-bayani hai agar jurm to hum hain mujrim
zulm se laDna KHata hai to KHata karte hain

husn paida karo kirdar-o-amal mein apne
ghair ko dekho na 'ahsan' ki wo kya karte hain

(582) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain written by Ahsan Aazmi at UrduPoint. Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain is one of the masterpieces written by Ahsan Aazmi. You can also find the complete poetry collection of Ahsan Aazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ahsan Aazmi' above.

Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shikwa-e-gham Na Masaib Ka Gila Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.