Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka, Urdu Ghazal By Aish Meeruthi

Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aish Meeruthi. Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

برباد محبت ہو کر بھی جینے کا سہارا ہو نہ سکا

عیش میرٹھی

برباد محبت ہو کر بھی جینے کا سہارا ہو نہ سکا

اک دل پہ بھروسہ تھا اپنے وہ بھی تو ہمارا ہو نہ سکا

جلوؤں کی فراوانی توبہ دم بھر میں ہوئیں خیرہ نظریں

وہ سامنے بے پردہ تھے مگر ہم سے ہی نظارہ ہو نہ سکا

آنکھوں کی زبانی شکوۂ غم کرنا تھا بہت ان سے لیکن

خود حسن پشیماں ہو جاتا یہ ہم سے گوارا ہو نہ سکا

مانا کہ بھری محفل تھی مگر کافی تھی مجھے دزدیدہ نظر

تسکین دل مضطر کے لئے اتنا سا اشارا ہو نہ سکا

غیروں کی طرح منہ تکتے رہے ہر ایک کا ہم اس محفل میں

آنکھوں میں چھلک آئے آنسو پھر ضبط کا یارا ہو نہ سکا

آئی جو ادھر موج طوفاں کشتی تھی شکستہ ڈوب گئی

افسوس پیام عافیت دریا میں کنارا ہو نہ سکا

ہر بزم نشاط اے عیشؔ ہوئی اس شوخ کے جلوؤں سے روشن

کاشانۂ غم میں جلوہ فگن لیکن وہ دل آرا ہو نہ سکا

عیش میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka

Aish Meeruthi

barbaad-e-mohabbat ho kar bhi jine ka sahaara ho na saka
ek dil pe bharosa tha apne wo bhi to hamara ho na saka

jalwon ki farawani tauba dam bhar mein huin KHira nazren
wo samne be-parda the magar hum se hi nazara ho na saka

aankhon ki zabani shikwa-e-gham karna tha bahut un se lekin
KHud husn pasheman ho jata ye hum se gawara ho na saka

mana ki bhari mahfil thi magar kafi thi mujhe duzdida nazar
taskin-e-dil-e-muztar ke liye itna sa ishaara ho na saka

ghairon ki tarah munh takte rahe har ek ka hum is mahfil mein
aankhon mein chhalak aae aansu phir zabt ka yara ho na saka

aai jo idhar mauj-e-tufan kashti thi shikasta Dub gai
afsos payam-e-afiyyat dariya mein kinara ho na saka

har bazm-e-nashat ai 'aish' hui us shoKH ke jalwon se raushan
kashana-e-gham mein jalwa-fagan lekin wo dil-ara ho na saka

(724) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka written by Aish Meeruthi at UrduPoint. Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka is one of the masterpieces written by Aish Meeruthi. You can also find the complete poetry collection of Aish Meeruthi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aish Meeruthi' above.

Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Barbaad-e-mohabbat Ho Kar Bhi Jine Ka Sahaara Ho Na Saka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.