Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Akhlaque Bandvi

Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhlaque Bandvi. Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں زیر سایہ کہیں محو خواب تھا بھی نہیں

اخلاق بندوی

میں زیر سایہ کہیں محو خواب تھا بھی نہیں

کہ آ کے دھوپ جگاتی میں جاگتا بھی نہیں

حریم ناز مری دسترس سے دور تو ہے

مرے جہان تخیل سے ماورا بھی نہیں

یہی ہے عدل تو ایسے نظام عدل پہ خاک

ہے فرد جرم بھی عائد مری خطا بھی نہیں

ہم اپنی جان کے دشمن کو اپنا دوست کہیں

ہمارے پاس کوئی اور راستہ بھی نہیں

ہم آ کے اپنے گھروں میں سکوں سے بیٹھ گئے

بایں ہمہ کوئی خطرہ ابھی ٹلا بھی نہیں

کہاں پہ لائی ہے یہ شب گزیدگی ہم کو

چراغ بجھ بھی گئے مشتعل ہوا بھی نہیں

عصا کو ڈال دیں دریا میں راستہ ہو جائے

ہمارے پاس کوئی ایسا معجزہ بھی نہیں

اسی جہان میں اخلاقؔ ایسے لوگ بھی ہیں

جو نیک بھی ہیں اور ان کا کوئی خدا بھی نہیں

اخلاق بندوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin

Akhlaque Bandvi

main zer-e-saya kahin mahw-e-KHwab tha bhi nahin
ki aa ke dhup jagati main jagta bhi nahin

harim-e-naz meri dastaras se dur to hai
mere jahan-e-taKHayyul se mawara bhi nahin

yahi hai adl to aise nizam-e-adl pe KHak
hai fard-e-jurm bhi aaed meri KHata bhi nahin

hum apni jaan ke dushman ko apna dost kahen
hamare pas koi aur rasta bhi nahin

hum aa ke apne gharon mein sukun se baiTh gae
bain-hama koi KHatra abhi Tala bhi nahin

kahan pe lai hai ye shab-gazidgi hum ko
charagh bujh bhi gae mushtail hawa bhi nahin

asa ko Dal den dariya mein rasta ho jae
hamare pas koi aisa moajiza bhi nahin

isi jahan mein 'aKHlaq' aise log bhi hain
jo nek bhi hain aur un ka koi KHuda bhi nahin

(721) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin written by Akhlaque Bandvi at UrduPoint. Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Akhlaque Bandvi. You can also find the complete poetry collection of Akhlaque Bandvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhlaque Bandvi' above.

Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Zer-e-saya Kahin Mahw-e-KHwab Tha Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.