Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye, Urdu Ghazal By Akhtar Ansari Akbarabadi

Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Ansari Akbarabadi. Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر سے صفحۂ عالم پہ خونیں داستاں لکھیے

اختر انصاری اکبرآبادی

نظر سے صفحۂ عالم پہ خونیں داستاں لکھیے

قلم سے کیا حکایات زمین و آسماں لکھیے

مٹا دے جو فضا کی تیرگی ماحول کی پستی

کوئی ایسا بھی شعر اے شاعران خوش بیاں لکھیے

بپا ہیں ہر جہت میں آتش و آہن کے ہنگامے

کہاں اس دور میں جور و جفائے مہوشاں لکھیے

خطر ہائے رہ مجنوں کا قصہ کیوں بیاں کیجیے

نظر کو ناقۂ لیلیٰ خرد کو سارباں لکھیے

یہی ہیں یادگار غنچہ و گل اس زمانے میں

انہیں سوکھے ہوئے کانٹوں سے ذکر گلستاں لکھیے

بیاں کرنے کو ہے طرز تپاک دوستاں کافی

اب اس دنیا میں کیا رنگ غرور دشمناں لکھیے

روایات کہن میں دل کشی باقی نہیں اخترؔ

نئے انداز سے تاریخ شہر گل رخاں لکھیے

اختر انصاری اکبرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye

Akhtar Ansari Akbarabadi

nazar se safha-e-alam pe KHunin dastan likhiye
qalam se kya hikayat-e-zamin-o-asman likhiye

miTa de jo faza ki tirgi mahaul ki pasti
koi aisa bhi sher ai shairan-e-KHush-bayan likhiye

bapa hain har jihat mein aatish-o-ahan ke hangame
kahan is daur mein jaur-o-jafa-e-mahwashan likhiye

KHatar-ha-e-rah-e-majnun ka qissa kyun bayan kijiye
nazar ko naqa-e-laila KHirad ko sarban likhiye

yahi hain yaadgar-e-ghuncha-o-gul is zamane mein
inhin sukhe hue kanTon se zikr-e-gulsitan likhiye

bayan karne ko hai tarz-e-tapak-e-dostan kafi
ab is duniya mein kya rang-e-ghurur-e-dushmanan likhiye

riwayat-e-kuhan mein dilkashi baqi nahin 'aKHtar'
nae andaz se tariKH-e-shahr-e-gul-ruKHan likhiye

(760) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye written by Akhtar Ansari Akbarabadi at UrduPoint. Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye is one of the masterpieces written by Akhtar Ansari Akbarabadi. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Ansari Akbarabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Ansari Akbarabadi' above.

Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Se Safha-e-alam Pe KHunin Dastan Likhiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.