Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha, Urdu Ghazal By Akhtar Feroz

Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Feroz. Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نفرتوں سے چہرہ چہرہ گرد تھا

اختر فیروز

نفرتوں سے چہرہ چہرہ گرد تھا

مجرم انسانیت ہر فرد تھا

کچھ ہواؤں میں بھی تھا خوف و ہراس

کچھ فضاؤں کا بھی چہرہ زرد تھا

بے حسی میں دفن تھی انسانیت

آدمیت کا بھی لہجہ سرد تھا

اپنے کاندھوں پر اٹھائے اپنا بوجھ

کوئی آوارہ کوئی شب گرد تھا

پھول سے چہرے تھے مرجھائے ہوئے

شہر گل بھی آج شہر درد تھا

جس نے دنیا بھر کے غم اپنائے تھے

اس کو دنیا نے کہا بے درد تھا

سچ تو اخترؔ یہ ہے اس ماحول میں

میرا دشمن ہی مرا ہمدرد تھا

اختر فیروز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha

Akhtar Feroz

nafraton se chehra chehra gard tha
mujrim-e-insaniyat har fard tha

kuchh hawaon mein bhi tha KHauf-o-hiras
kuchh fazaon ka bhi chehra zard tha

be-hisi mein dafn thi insaniyat
aadamiyyat ka bhi lahja sard tha

apne kandhon par uThae apna bojh
koi aawara koi shab-gard tha

phul se chehre the murjhae hue
shahr-e-gul bhi aaj shahr-e-dard tha

jis ne duniya bhar ke gham apnae the
us ko duniya ne kaha be-dard tha

sach to 'aKHtar' ye hai us mahaul mein
mera dushman hi mera hamdard tha

(1021) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha written by Akhtar Feroz at UrduPoint. Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha is one of the masterpieces written by Akhtar Feroz. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Feroz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Feroz' above.

Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.