Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai, Urdu Ghazal By Akhtar Nazmi

Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Nazmi. Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لکھا ہے مجھ کو بھی لکھنا پڑا ہے

اختر نظمی

لکھا ہے مجھ کو بھی لکھنا پڑا ہے

جہاں سے حاشیہ چھوڑا گیا ہے

اگر مانوس ہے تم سے پرندہ

تو پھر اڑنے کو پر کیوں تولتا ہے

کہیں کچھ ہے کہیں کچھ ہے کہیں کچھ

مرا سامان سب بکھرا ہوا ہے

میں جا بیٹھوں کسی برگد کے نیچے

سکوں کا بس یہی ایک راستہ ہے

قیامت دیکھیے میری نظر سے

سوا نیزے پہ سورج آ گیا ہے

شجر جانے کہاں جا کر لگے گا

جسے دریا بہا کر لے گیا ہے

ابھی تو گھر نہیں چھوڑا ہے میں نے

یہ کس کا نام تختی پر لکھا ہے

بہت روکا ہے اس کو پتھروں نے

مگر پانی کو راستہ مل گیا ہے

اختر نظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai

Akhtar Nazmi

likha hai mujh ko bhi likhna paDa hai
jahan se hashiya chhoDa gaya hai

agar manus hai tum se parinda
to phir uDne ko par kyun tolta hai

kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh
mera saman sab bikhra hua hai

main ja baiThun kisi bargad ke niche
sukun ka bas yahi ek rasta hai

qayamat dekhiye meri nazar se
sawa neze pe suraj aa gaya hai

shajar jaane kahan ja kar lagega
jise dariya baha kar le gaya hai

abhi to ghar nahin chhoDa hai main ne
ye kis ka nam taKHti par likha hai

bahut roka hai is ko pattharon ne
magar pani ko rasta mil gaya hai

(831) ووٹ وصول ہوئے

You can read Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai written by Akhtar Nazmi at UrduPoint. Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai is one of the masterpieces written by Akhtar Nazmi. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Nazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Nazmi' above.

Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Likha Hai Mujhko Bhi Likhna PaDa Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.