Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein, Urdu Ghazal By Akhtar Shahjahanpuri

Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Akhtar Shahjahanpuri. Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں سے لائیں گے آنسو عزا داری کے موسم میں

اختر شاہجہانپوری

کہاں سے لائیں گے آنسو عزا داری کے موسم میں

بہت کچھ رو چکے ہم تو اداکاری کے موسم میں

اتر آؤں گا میں بھی زینۂ ہستی سے یوں اک دن

کہ جیسے رنگ رخ اترے ہے ناداری کے موسم میں

تمہارے خط کبھی پڑھنا کبھی ترتیب سے رکھنا

عجب مشغولیت رہتی ہے بیکاری کے موسم میں

بجز میرے زمانے کی قبا رنگین کر ڈالی

یہ کیا تفریق رکھی اس نے گلکاری کے موسم میں

سر برگ تمنا مرہم دیدار کہہ جائیں

نہ آئیں سامنے میرے نگہ داری کے موسم میں

طلوع مہر سے ٹوٹے گی ان کی نیند نا ممکن

جو خوابیدہ رہا کرتے ہیں بیداری کے موسم میں

ترس کھاتے ہیں کیوں احباب میرے حال پر اخترؔ

بہت بے چینیاں بڑھتی ہیں غم خواری کے موسم میں

اختر شاہجہانپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein

Akhtar Shahjahanpuri

kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein
bahut kuchh ro chuke hum to adakari ke mausam mein

utar aaunga main bhi zina-e-hasti se yun ek din
ki jaise rang-e-ruKH utre hai nadari ke mausam mein

tumhaare KHat kabhi paDhna kabhi tartib se rakhna
ajab mashghuliyat rahti hai bekari ke mausam mein

ba-juz mere zamane ki qaba rangin kar Dali
ye kya tafriq rakkhi us ne gul-kari ke mausam mein

sar-e-barg-e-tamanna marham-e-didar kah jaen
na aaen samne mere nigah-dari ke mausam mein

tulu-e-mehr se TuTegi un ki nind na-mumkin
jo KHwabida raha karte hain bedari ke mausam mein

taras khate hain kyun ahbab mere haal par 'aKHtar'
bahut be-chainiyan baDhti hain gham-KHwari ke mausam mein

(758) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein written by Akhtar Shahjahanpuri at UrduPoint. Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein is one of the masterpieces written by Akhtar Shahjahanpuri. You can also find the complete poetry collection of Akhtar Shahjahanpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Akhtar Shahjahanpuri' above.

Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.