GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin, Urdu Ghazal By Al Haaj Al Hafiz

GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Al Haaj Al Hafiz. GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھٹا ہو باد بہاری ہو اور جام نہیں

الحاج الحافظ

گھٹا ہو باد بہاری ہو اور جام نہیں

غضب ہو ساقی اگر مے سے کوئی کام نہیں

ہماری بات بھی زاہد سے جا کے کہہ دینا

اسے حلال نہیں مے ہمیں حرام نہیں

کسی کو فکر ہو کیوں میرے مرنے جینے کی

کہ میری ذات سے برہم کوئی نظام نہیں

حقیقتاً یہی دنیا سرائے فانی ہے

ہے کوچ سبب کہ کسی کو یہاں قیام نہیں

بہت ثواب ملے ٹوٹے دل کو گر جوڑے

کچھ اس سے بڑھ کے زمانے میں کوئی کام نہیں

چلے تھے دید کو یہ کہہ کے اس کو روک دیا

یہ خاص لوگوں کی باری ہے دید عام نہیں

بھروسہ کیجئے ہرگز نہ اس کی باتوں کا

جسے نہ اپنی کسی بات پر قیام نہیں

ہمیشہ غیبتیں کرتا برا بھلا کہتا

ان حاسدوں کو سوا اس کے اور کام نہیں

کہیں جو ہتھے چڑھا دل جلوں کے چرخ کہن

جلا کے خاک نہ کر دیں تو میرا نام نہیں

میں وہ غیور ہوں دیوانؔ آج تک جس نے

کسی امیر کو جھک کر کیا سلام نہیں

کھلی حقیقت دیوانؔ اہل نخوت پر

رئیس زادہ ہوں میں بھی کوئی غلام نہیں

الحاج الحافظ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin

Al Haaj Al Hafiz

ghaTa ho baad-e-bahaari ho aur jam nahin
ghazab ho saqi agar mai se koi kaam nahin

hamari baat bhi zahid se ja ke kah dena
use halal nahin mai hamein haram nahin

kisi ko fikr ho kyon mere marne jine ki
ki meri zat se barham koi nizam nahin

haqiqatan yahi duniya sara-e-fani hai
hai kuch sabab ki kisi ko yahan qiyam nahin

bahut sawab mile TuTe dil ko gar joDe
kuchh is se baDh ke zamane mein koi kaam nahin

chale the did ko ye kah ke us ko rok diya
ye KHas logon ki bari hai did-e-am nahin

bharosa kijiye hargiz na us ki baaton ka
jise na apni kisi baat par qiyam nahin

hamesha ghibaten karta bura-bhala kahta
in hasidon ko siwa is ke aur kaam nahin

kahin jo hatthe chaDha dil-jalon ke charKH-e-kuhan
jala ke KHak na kar den to mera nam nahin

main wo ghayur hun 'diwan' aaj tak jis ne
kisi amir ko jhuk kar kiya salam nahin

khuli haqiqat-e-'diwan' ahl-e-naKHwat par
rais-zada hun main bhi koi ghulam nahin

(458) ووٹ وصول ہوئے

You can read GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin written by Al Haaj Al Hafiz at UrduPoint. GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin is one of the masterpieces written by Al Haaj Al Hafiz. You can also find the complete poetry collection of Al Haaj Al Hafiz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Al Haaj Al Hafiz' above.

GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like GhaTa Ho Baad-e-bahaari Ho Aur Jam Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.